tera karam sharik-e-mohabbat sada raha
terā karam sharīk-e-mohabbat sadā rahā
terī 'atāoñ se mirā dāman bharā rahā
jaisā rahā jahāñ bhī rahā jis jagah rahā
dil kī nazar se terī taraf dekhtā rahā
ye bhī tire karam tirī rahmat kī baat hai
tere dar-e-karam se mujhe vāsta rahā
kā'ba nigāh-e-rashk se dekhā kiyā mujhe
sar āstān-e-yār pe merā jhukā rahā
pā-e-sanam pe hotī rahī 'ishq kī namāz
sajda hamārā hāsil-e-kā'ba banā rahā
kam ho sakī na sham'-e-mohabbat kī raushnī
terā jamāl merī nazar meñ basā rahā
rāhoñ kī saḳhtiyoñ se pareshāñ huā na maiñ
har rāste meñ tū mirā mushkil-kushā rahā
mujh ko 'fanā' payām-e-baqā thā har ek saañs
jab tak sharīk-e-hāl karam yaar kā rahā
tera karam sharik-e-mohabbat sada raha
teri 'ataon se mera daman bhara raha
jaisa raha jahan bhi raha jis jagah raha
dil ki nazar se teri taraf dekhta raha
ye bhi tere karam teri rahmat ki baat hai
tere dar-e-karam se mujhe wasta raha
ka'ba nigah-e-rashk se dekha kiya mujhe
sar aastan-e-yar pe mera jhuka raha
pa-e-sanam pe hoti rahi 'ishq ki namaz
sajda hamara hasil-e-ka'ba bana raha
kam ho saki na sham'-e-mohabbat ki raushni
tera jamal meri nazar mein basa raha
rahon ki saKHtiyon se pareshan hua na main
har raste mein tu mera mushkil-kusha raha
mujh ko 'fana' payam-e-baqa tha har ek sans
jab tak sharik-e-haal karam yar ka raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.