dil hai sanam-KHana mera jab se basi surat teri
dil hai sanam-ḳhāna mirā jab se basī sūrat tirī
kāfir huuñ tere 'ishq meñ maslak mirā hai kāfirī
īmān kā but toḌ de tasbīh musallā chhoḌ de
dekhe koī zāhid agar terī adaa.e dilbarī
merī 'ibādat hai yahī chhoḌūñ na but-ḳhāna tirā
puujā karūñ terī sanam taktā rahūñ mūrat tirī
kāfir huā huuñ jab se maiñ āñkhoñ se parde haT ga.e
har chiiz meñ aa.ī nazar ai but tirī jalva-garī
merī nazar ko chāhiye dīdār tere husn kā
dekhūñ agar jalva tirā bas 'iid ho jaa.e mirī
āñkheñ tirī jām-o-subū qalb-e-‘fanā’ kī aarzū
andāz tere ai sanam rashk-e-butān-e-āzarī
dil hai sanam-KHana mera jab se basi surat teri
kafir hun tere 'ishq mein maslak mera hai kafiri
iman ka but toD de tasbih musalla chhoD de
dekhe koi zahid agar teri adae dilbari
meri 'ibaadat hai yahi chhoDun na but-KHana tera
puja karun teri sanam takta rahun murat teri
kafir hua hun jab se main aankhon se parde haT gae
har chiz mein aai nazar ai but teri jalwa-gari
meri nazar ko chahiye didar tere husn ka
dekhun agar jalwa tera bas 'id ho jae meri
aankhen teri jam-o-subu qalb-e-‘fana’ ki aarzu
andaz tere ai sanam rashk-e-butan-e-azari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.