main kya bataun tamanna-e-zindagi kya hai
maiñ kyā batā.ūñ tamannā-e-zindagī kyā hai
huzūr aap salāmat raheñ kamī kyā hai
yahī namāz hai merī ki pūjtā huuñ tumheñ
mujhe ḳhabar nahīñ ādāb-e-bandagī kyā hai
chaman ke husn ko dekhūñ to kis tarah dekhūñ
tire jamāl ke aage ye raushnī kyā hai
shahīd-e-nāz hī us raaz ko samajhte haiñ
mile na dard-e-mohabbat to zindagī kyā hai
faqīr-e-dar ko shahanshāhī kā sharf baḳhshā
tumhārī chashm-e-’ināyat kī baat hī kiyā hai
nigāh-e-yār pe sadqe kiye haiñ hosh-o-havās
ab us se baḌh ke koī aur mai-kahsī kyā hai
tire karam kā sahārā hai zindagī merī
tirā karam na ho shāmil to zindagī kyā hai
hai is ke vāste kaunain tere qadmoñ meñ
tire gadā ke liye tāj-e-khusravī kyā hai
'fanā' ye un kī mohabbat-navāziyāñ dekho
vo mujh se pūchh rahe haiñ tirī ḳhushī kyā hai
main kya bataun tamanna-e-zindagi kya hai
huzur aap salamat rahen kami kya hai
yahi namaz hai meri ki pujta hun tumhein
mujhe KHabar nahin aadab-e-bandagi kya hai
chaman ke husn ko dekhun to kis tarah dekhun
tere jamal ke aage ye raushni kya hai
shahid-e-naz hi us raaz ko samajhte hain
mile na dard-e-mohabbat to zindagi kya hai
faqir-e-dar ko shahanshahi ka sharf baKHsha
tumhaari chashm-e-’inayat ki baat hi kiya hai
nigah-e-yar pe sadqe kiye hain hosh-o-hawas
ab us se baDh ke koi aur mai-kahsi kya hai
tere karam ka sahaara hai zindagi meri
tera karam na ho shamil to zindagi kya hai
hai is ke waste kaunain tere qadmon mein
tere gada ke liye taj-e-khusrawi kya hai
'fana' ye un ki mohabbat-nawaziyan dekho
wo mujh se puchh rahe hain teri KHushi kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.