chhup ke nazron se meri ranj-o-alam chhoD gae
chhup ke nazroñ se mirī rañj-o-alam chhoḌ ga.e
hijr kā ġham mire dāman meñ sanam chhoḌ ga.e
parda karnā thā to le jaate mirī jaan bhī saath
kyuuñ mire vāste furqat ke sitam chhoḌ ga.e
luuT kar sabr-o-sukūñ chhoḌ ke jaane vaale
jāda-e-shauq meñ kuchh naqsh-e-qadam chhoḌ ga.e
chhup ga.e mere sanam de ke mujhe dāġh-e-firāq
mere sajdoñ ke liye naqsh-e-qadam chhoḌ ga.e
un kī ulfat ko kaleje se lagā rakkhā hai
apnā kah kar jo mirī aañkh ko tum chhoḌ ga.e
chain lene nahīñ detī mujhe siine kī jalan
tum ga.e dil se magar soz-o-alam chhoḌ ga.e
chhup ga.e ḳhud to hijābāt meñ jaa.e lekin
ik mirī jaañ ke liye saikḌoñ ġham chhoḌ ga.e
ai kitnā chhoḌ ga.e vo to shikāyat kaisī
ye karam hai ki vo ummīd-e-karam chhoḌ ga.e
chhup ke nazron se meri ranj-o-alam chhoD gae
hijr ka gham mere daman mein sanam chhoD gae
parda karna tha to le jate meri jaan bhi sath
kyun mere waste furqat ke sitam chhoD gae
luT kar sabr-o-sukun chhoD ke jaane wale
jada-e-shauq mein kuchh naqsh-e-qadam chhoD gae
chhup gae mere sanam de ke mujhe dagh-e-firaq
mere sajdon ke liye naqsh-e-qadam chhoD gae
un ki ulfat ko kaleje se laga rakkha hai
apna kah kar jo meri aankh ko tum chhoD gae
chain lene nahin deti mujhe sine ki jalan
tum gae dil se magar soz-o-alam chhoD gae
chhup gae KHud to hijabaat mein jae lekin
ek meri jaan ke liye saikDon gham chhoD gae
ai kitna chhoD gae wo to shikayat kaisi
ye karam hai ki wo ummid-e-karam chhoD gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.