aag daman mein lag jaegi dil mein shoala machal jaega
aag daman mein lag jaegi dil mein shoala machal jaega
Fana Bulandshahri
MORE BYFana Bulandshahri
aag dāman meñ lag jā.egī dil meñ sho'ala machal jā.egā
merā sāġhar na chhūnā kabhī sāqiyā haath jal jā.egā
ek din vo zarūr ā.eñge dard kā saaya Tal jā.egā
is zamāne kī parvā nahīñ ye zamāna badal jā.egā
aa gayā merā āñkhoñ meñ dam ab to jalva dikhā dījiye
aap kī baat rah jā.egī merā armāñ nikal jā.egā
be-sabab ham se rūTho na tum ye laḌā.ī burī chiiz hai
sulh kar lo ḳhudā ke liye ye burā vaqt Tal jā.egā
mai-kasho us nazar kī suno kah rahī hai vo sho’la-badan
mai nahīñ jaam meñ aag hai jo piyegā vo jal jā.egā
koī aañsū nahīñ aañkh meñ baat ghar kī abhī ghar meñ hai
tum jo yuuñ hī satāte rahe dard ashkoñ meñ Dhal jā.egā
duur haiñ jab talak tum se ham kaise hogā madavā-e-ġham
ek daf.a tum milo to sanam ġham ḳhushī meñ badal jā.egā
gar yuuñ hī ghar meñ baiThā rahā maar Dāleñgī tanhā.iyāñ
chal zarā mai-kade meñ chaleñ ai 'fanā' dil bahal jā.egā
aag daman mein lag jaegi dil mein sho'ala machal jaega
mera saghar na chhuna kabhi saqiya hath jal jaega
ek din wo zarur aaenge dard ka saya Tal jaega
is zamane ki parwa nahin ye zamana badal jaega
aa gaya mera aankhon mein dam ab to jalwa dikha dijiye
aap ki baat rah jaegi mera arman nikal jaega
be-sabab hum se ruTho na tum ye laDai buri chiz hai
sulh kar lo KHuda ke liye ye bura waqt Tal jaega
mai-kasho us nazar ki suno kah rahi hai wo sho’la-badan
mai nahin jam mein aag hai jo piyega wo jal jaega
koi aansu nahin aankh mein baat ghar ki abhi ghar mein hai
tum jo yun hi satate rahe dard ashkon mein Dhal jaega
dur hain jab talak tum se hum kaise hoga madawa-e-gham
ek dafa tum milo to sanam gham KHushi mein badal jaega
gar yun hi ghar mein baiTha raha mar Dalengi tanhaiyan
chal zara mai-kade mein chalen ai 'fana' dil bahal jaega
- Book : Kulliyat-e-Fana Bulandshahri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.