botal khuli hai raqs mein jam-e-sharab hai
botal khulī hai raqs meñ jām-e-sharāb hai
ai 'āshiqo tumhārī du'ā kāmyāb hai
aise hasīn vaqt meñ piinā savāb hai
ham tum haiñ mai-kade haiñ shab-e-māhtāb hai
kyuuñ mai-kade meñ shaiḳh jī bante ho pārsā
nazreñ batā rahe haiñ ki nīyat ḳharāb hai
paimāna bhar ke kahte haiñ vo kis adā ke saath
pī lo hamāre haath se piinā savāb hai
jis se kiyā thā pyaar usī ne diye haiñ ġham
sach pochhiye to dil kā lagānā 'azāb hai
pahlū meñ hai raqīb tumhāre ḳhudā kī shaan
kāñTā bhī hai vahīñ pe jahāñ par gulāb hai
rūdād-e-hijr chehre pe tahrīr hai 'fanā'
paḌh lījiye khulī huī dil kī kitāb hai
botal khuli hai raqs mein jam-e-sharab hai
ai 'ashiqo tumhaari du'a kaamyab hai
aise hasin waqt mein pina sawab hai
hum tum hain mai-kade hain shab-e-mahtab hai
kyun mai-kade mein shaiKH ji bante ho parsa
nazren bata rahe hain ki niyat KHarab hai
paimana bhar ke kahte hain wo kis ada ke sath
pi lo hamare hath se pina sawab hai
jis se kiya tha pyar usi ne diye hain gham
sach pochhiye to dil ka lagana 'azab hai
pahlu mein hai raqib tumhaare KHuda ki shan
kanTa bhi hai wahin pe jahan par gulab hai
rudad-e-hijr chehre pe tahrir hai 'fana'
paDh lijiye khuli hui dil ki kitab hai
- Book : Kulliyat-e-Fana Bulandshahri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.