mai-kada ban gain mast aankhen zulf kali ghaTa ho gai hai
mai-kada ban gain mast aankhen zulf kali ghaTa ho gai hai
Fana Bulandshahri
MORE BYFana Bulandshahri
mai-kada ban ga.iiñ mast āñkheñ zulf kaalī ghaTā ho ga.ī hai
kyā ho mai kā nasha zindagī meñ zindagī ḳhud nasha ho ga.ī hai
be-ijāzat laboñ ko tumhāre chuum kar ḳhud pareshān huuñ maiñ
hosh meñ itnī jur.at na hotī be-ḳhudī meñ ḳhatā ho ga.ī hai
pahle to dekhnā muskurānā phir nazar phernā ruuTh jaanā
ho gayā ḳhuun kitnoñ kā nāhaq aap kī to adā ho ga.ī hai
aisī chaltī hai galiyoñ meñ terī jhuum kar jaise chalte haiñ mai-kash
jab se zulfoñ ko terī chhuā hai kitnī be-ḳhud sabā ho ga.ī hai
be-davā mujh ko achchhā kiyā hai chāra-sāzī ke andāz dekho
muskurā kar nazar yuuñ uThā.ī dard-e-dil kī davā ho ga.ī hai
yuuñ rachā kaif nas-nas meñ merī miT ga.ī fikr-e-duniyā-o-'uqbā
jab se rakkhā qadam mai-kade meñ zindagī kyā se kiyā ho ga.ī hai
'ishq ne kyā tamāsha dikhāyā kaisī karvaT nasīboñ ne badlī
ai 'fanā' ham ko dīvāna kar ke vo nazar pārsā ho ga.ī hai
mai-kada ban gain mast aankhen zulf kali ghaTa ho gai hai
kya ho mai ka nasha zindagi mein zindagi KHud nasha ho gai hai
be-ijazat labon ko tumhaare chum kar KHud pareshan hun main
hosh mein itni jurat na hoti be-KHudi mein KHata ho gai hai
pahle to dekhna muskurana phir nazar pherna ruTh jaana
ho gaya KHun kitnon ka nahaq aap ki to ada ho gai hai
aisi chalti hai galiyon mein teri jhum kar jaise chalte hain mai-kash
jab se zulfon ko teri chhua hai kitni be-KHud saba ho gai hai
be-dawa mujh ko achchha kiya hai chaara-sazi ke andaz dekho
muskura kar nazar yun uThai dard-e-dil ki dawa ho gai hai
yun racha kaif nas-nas mein meri miT gai fikr-e-duniya-o-'uqba
jab se rakkha qadam mai-kade mein zindagi kya se kiya ho gai hai
'ishq ne kya tamasha dikhaya kaisi karwaT nasibon ne badli
ai 'fana' hum ko diwana kar ke wo nazar parsa ho gai hai
- Book : Kulliyat-e-Fana Bulandshahri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.