fanā honā mohabbat meñ hayāt-e-jāvedānī hai
kisī qātil pe dam nikle to lutf-e-zindagānī hai
zarā raftār to badlo ki dil pāmāl hotā hai
ye ham bhī jānte haiñ āmad-e-fasl-e-javānī hai
nashīlī mast āñkheñ surḳh Dore chaal matvālī
shabāb us gul kā goyā saaf tasvīr-e-javānī hai
naved-e-vasl sun kar daf'atan 'āshiq kā mar jaanā
mohabbat meñ ḳhushī kā naam marg-e-nā-gahānī hai
fanā ab tak na tai ham ne kiyā rāh-e-mohabbat ko
usī kūcha kī go ik 'umr ham ne ḳhaak chhānī hai
fana hona mohabbat mein hayat-e-jawedani hai
kisi qatil pe dam nikle to lutf-e-zindagani hai
zara raftar to badlo ki dil pamal hota hai
ye hum bhi jaante hain aamad-e-fasl-e-jawani hai
nashili mast aankhen surKH Dore chaal matwali
shabab us gul ka goya saf taswir-e-jawani hai
nawed-e-wasl sun kar daf'atan 'ashiq ka mar jaana
mohabbat mein KHushi ka nam marg-e-na-gahani hai
fana ab tak na tai hum ne kiya rah-e-mohabbat ko
usi kucha ki go ek 'umr hum ne KHak chhani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.