sahan-e-haram-o-sanam chhoD diya hai
sahan-e-haram-o-sanam chhoḌ diyā hai
har dar ko tire dar kī qasam chhoḌ diyā hai
vo riñd huuñ maiñ jis ke liye shaiḳh-e-haram ne
rātoñ ko khulā baab haram chhoḌ diyā hai
kar lījiye tauba kā yaqīñ hazrat-e-vā'iz
mai-ḳhāna ko saaqī kī qasam chhoḌ diyā hai
ġhaflat mirī jānib se hai yā un kī taraf se
ye faisla tujh par shab-e-ġham chhoḌ diyā hai
zālim tujhe ye raaz batānā hī paḌegā
kyuuñ mashġhala-e-mashk-e-sitam chhoḌ diyā hai
rūdād-e-vafā un kī sunā dī hai mukammal
haañ thoḌā sā afsāna-e-ġham chhoḌ diyā hai
begāne to begāne haiñ kyā baat hai saaqī
apnoñ ne bhī bharnā tirā dam chhoḌ diyā hai
kis daur kā har shā’ir-e-nāzuk hai sipāhī
talvār uThā lī hai qalam chhoḌ diyā hai
kaafī hai fanā mujh ko mirā jām-e-shikasta
duniyā ke liye sāġhar-e-jam chhoḌ diyā hai
sahan-e-haram-o-sanam chhoD diya hai
har dar ko tere dar ki qasam chhoD diya hai
wo rind hun main jis ke liye shaiKH-e-haram ne
raaton ko khula bab haram chhoD diya hai
kar lijiye tauba ka yaqin hazrat-e-wa'iz
mai-KHana ko saqi ki qasam chhoD diya hai
ghaflat meri jaanib se hai ya un ki taraf se
ye faisla tujh par shab-e-gham chhoD diya hai
zalim tujhe ye raaz batana hi paDega
kyun mashghala-e-mashk-e-sitam chhoD diya hai
rudad-e-wafa un ki suna di hai mukammal
han thoDa sa afsana-e-gham chhoD diya hai
begane to begane hain kya baat hai saqi
apnon ne bhi bharna tera dam chhoD diya hai
kis daur ka har sha’ir-e-nazuk hai sipahi
talwar uTha li hai qalam chhoD diya hai
kafi hai fana mujh ko mera jam-e-shikasta
duniya ke liye saghar-e-jam chhoD diya hai
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.18 (Pg. 240)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.