Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

us yar se yari hai us ka hun main diwana

Faraz Warsi

us yar se yari hai us ka hun main diwana

Faraz Warsi

MORE BYFaraz Warsi

    us yaar se yaarī hai us huuñ maiñ dīvāna

    andāz-e-karam jis a.alam se judā-gāna

    zāhid ko haram pyārā mujh ko dar-e-jānāna

    thā ka.abe shaidā.ī maiñ yaar dīvāna

    phir kaise batā zāhid ka.abe ke karūñ sajde

    sar ek thā kar baiThe jo yaar nazrāna

    kyā is se ġharaz ham ko ka.aba ho kalīsā ho

    ho jalva-e-jānāna sajde kare dīvāna

    phir hosh kise baaqī jab sāmne ho saaqī

    nazroñ se kare be-ḳhud be-sāġhar-o-paimānā

    dil us hai jaañ us ham us ke haiñ sab us ke

    sharminda huuñ maiñ ḳhud par kyā duuñ use nazrāna

    ai shoḳh sanam mere qurbān ye dil tere

    tuune jo mohabbat samjhā use kāshāna

    baaġh shāh-e-bedam gul huuñ maiñ farāz ai dil

    jis banā hai har shaḳhs ko dīvāna

    us yar se yari hai us ka hun main diwana

    andaz-e-karam jis ka aalam se juda-gana

    zahid ko haram pyara mujh ko dar-e-jaanana

    tha kabe ka shaidai main yar ka diwana

    phir kaise bata zahid kabe ke karun sajde

    sar ek tha kar baiThe jo yar ka nazrana

    kya is se gharaz hum ko kaba ho kalisa ho

    ho jalwa-e-jaanana sajde kare diwana

    phir hosh kise baqi jab samne ho saqi

    nazron se kare be-KHud be-saghar-o-paimana

    dil us ka hai jaan us ki hum us ke hain sab us ke

    sharminda hun main KHud par kya dun use nazrana

    ai shoKH sanam mere qurban ye dil tere

    tune jo mohabbat ka samjha use kashana

    bagh shah-e-bedam ka gul hun main faraaz ai dil

    bu jis ki bana di hai har shaKHs ko diwana

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now