meri ulfat ai mere yar ye rang lai hai
mirī ulfat ai mere yaar ye rañg laa.ī hai
dil ke shīshe meñ terī shakl utar aa.ī hai
ai karam-sāz-e-azal chashm-e-charāġh-e-haidar
tire dam se hī mere dam meñ tavānā.ī hai
terā dīdār hai dīdār-e-ilāhī mujh meñ
bandagī merī tire dar kī jabīñ-sā.ī hai
terā dar chhoḌ ke jā۔ūñ to kahāñ jā۔ūñ maiñ
rāhat-e-dil tire qadmoñ meñ nazar aa.ī hai
bhar de bhar de mere daatā mirī jholī bhar de
tishna jaanā tire dar se tirī rusvā.ī hai
ai saḳhī ibn-e-saḳhī āl-e-nabī ibn-e-alī
ho ġhulāmoñ pe karam vaqt-e-masīhā.ī hai
gulshan-e-hazrat-e-bedam kā vo gul huuñ maiñ 'farāz'
jis kī bū meñ shah-e-bedam kī lahak aa.ī hai
meri ulfat ai mere yar ye rang lai hai
dil ke shishe mein teri shakl utar aai hai
ai karam-saz-e-azal chashm-e-charagh-e-haidar
tere dam se hi mere dam mein tawanai hai
tera didar hai didar-e-ilahi mujh mein
bandagi meri tere dar ki jabin-sai hai
tera dar chhoD ke ja۔un to kahan ja۔un main
rahat-e-dil tere qadmon mein nazar aai hai
bhar de bhar de mere data meri jholi bhar de
tishna jaana tere dar se teri ruswai hai
ai saKHi ibn-e-saKHi aal-e-nabi ibn-e-ali
ho ghulamon pe karam waqt-e-masihai hai
gulshan-e-hazrat-e-bedam ka wo gul hun main 'faraaz'
jis ki bu mein shah-e-bedam ki lahak aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.