ye zid hai aaj unhen be-naqab dekhenge
ye zid hai aaj unheñ be-naqāb dekheñge
unheñ khulī huī āñkhoñ se ḳhvāb dekheñge
hijāb kaisā unheñ be-hijāb dekheñge
nigāh-e-shoḳh ko ham kāmyāb dekheñge
shabāb-e-husn ke charche haiñ tere aalam meñ
ham aaj husn tirā be-naqāb dekheñge
haram-o-dair ke parde meñ chhapne vāloñ ko
ḳhudā ne chāhā to ham be-naqāb dekheñge
ye parde kaise mohabbat meñ aur hayā kaisī
ham aaj jalve tire be-hijāb dekheñge
ham un kī bazm meñ pahlū meñ baiTh kar aaj
bahut qarīb se vo māhtāb dekheñge
balā se ka.abe ko jaate haiñ jaa.eñ shaiḳh 'farāz'
bas ham to rauza-e-ālī janāb dekheñge
ye zid hai aaj unhen be-naqab dekhenge
unhen khuli hui aankhon se KHwab dekhenge
hijab kaisa unhen be-hijab dekhenge
nigah-e-shoKH ko hum kaamyab dekhenge
shabab-e-husn ke charche hain tere aalam mein
hum aaj husn tera be-naqab dekhenge
haram-o-dair ke parde mein chhapne walon ko
KHuda ne chaha to hum be-naqab dekhenge
ye parde kaise mohabbat mein aur haya kaisi
hum aaj jalwe tere be-hijab dekhenge
hum un ki bazm mein pahlu mein baiTh kar aaj
bahut qarib se wo mahtab dekhenge
bala se kabe ko jate hain jaen shaiKH 'faraaz'
bas hum to rauza-e-ali janab dekhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.