har pal tumhaari yaad satae to kya karun
har pal tumhārī yaad satā.e to kyā karūñ
koī ba-juz tumhār na bhaa.e to kyā karūñ
bas terā zikr terā tasavvur tirī talāsh
dīvāngī ko aur baḌhā.e to kyā karūñ
parde meñ husn hai to garebāñ hai tār-tār
rab jaane rū-ba-rū nazar aa.e to kyā karūñ
sajde se mujh ko kaam hai dair-o-haram se kyā
har-jā pe tū hī tū nazar aa.e to kyā karūñ
yuuñ to jahāñ meñ bā-ḳhudā lākhoñ husain haiñ
lekin tumhīñ ko dil merā chāhe to kyā karūñ
mashrab hamārā ishq mohabbat hai bandagī
terī samajh meñ shaiḳh na aa.e to kyā karūñ
us dil ke hāthoñ is qadar be-bas huuñ maiñ 'farāz'
har jā pe dekhnā use chāhe to kyā karūñ
har pal tumhaari yaad satae to kya karun
koi ba-juz tumhaar na bhae to kya karun
bas tera zikr tera tasawwur teri talash
diwangi ko aur baDhae to kya karun
parde mein husn hai to gareban hai tar-tar
rab jaane ru-ba-ru nazar aae to kya karun
sajde se mujh ko kaam hai dair-o-haram se kya
har-ja pe tu hi tu nazar aae to kya karun
yun to jahan mein ba-KHuda lakhon husain hain
lekin tumhin ko dil mera chahe to kya karun
mashrab hamara ishq mohabbat hai bandagi
teri samajh mein shaiKH na aae to kya karun
us dil ke hathon is qadar be-bas hun main 'faraaz'
har ja pe dekhna use chahe to kya karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.