mera sajda idhar hoga mera sajda udhar hoga
mirā sajda idhar hogā mirā sajda udhar hogā
nazar aa.egā tū jis jā tirā jalva jidhar hogā
balā se dair ko puuje koī ka.abe pe ho sadqe
merī jaañ merā sar hogā tumhārā sañg-e-dar hogā
maiñ jiite jī tumheñ bhūloñ mirī jaañ ye nahīñ mumkin
lahad meñ bhī tumhārā zikr tā shām-o-sahar hogā
tumhārā zikr hī bas hai ibādat jān-e-jāñ merī
tumhārā ishq hī mere liye baḳhshish kā dar hogā
tum āl-e-mustafā ibn-e-alī hasnain ke jaanī
tumhār dar ke TukḌoñ par hī bas merā guzar hogā
azal se huuñ maiñ shaidā.ī tumhārā tum mirī chāhat
merā qissa tumhār naam par hī muḳhtasar hogā
maiñ mañgtā huuñ magar vallāh 'farāz' is dar kā mañgtā huuñ
saḳhāvat meñ na saanī jis ke dar kā koī dar hogā
mera sajda idhar hoga mera sajda udhar hoga
nazar aaega tu jis ja tera jalwa jidhar hoga
bala se dair ko puje koi kabe pe ho sadqe
meri jaan mera sar hoga tumhaara sang-e-dar hoga
main jite ji tumhein bhulon meri jaan ye nahin mumkin
lahad mein bhi tumhaara zikr ta sham-o-sahar hoga
tumhaara zikr hi bas hai ibaadat jaan-e-jaan meri
tumhaara ishq hi mere liye baKHshish ka dar hoga
tum aal-e-mustafa ibn-e-ali hasnain ke jaani
tumhaar dar ke TukDon par hi bas mera guzar hoga
azal se hun main shaidai tumhaara tum meri chahat
mera qissa tumhaar nam par hi muKHtasar hoga
main mangta hun magar wallah 'faraaz' is dar ka mangta hun
saKHawat mein na sani jis ke dar ka koi dar hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.