jahan-e-ishq mein had se guzar gaya hun main
jahān-e-ishq meñ had se guzar gayā huuñ maiñ
qasam ḳhudā kī ḳhudā tujh meñ dekhtā huuñ maiñ
anokhā Dhañg hai nayā rañg merī ibādat kā
ki roz-o-shab tire jalvoñ meñ mubtalā huuñ maiñ
na ḳhauf-e-marg na shauq-e-hayāt hai mujh ko
jo mar miTā ho kisī par vo bā-ḳhudā huuñ maiñ
nishāñ batā.ūñ kis se apnī be-nishānī kā
tirī talāsh meñ muddat se lā-patā huuñ maiñ
nafas nafas meñ samāyā hai yuuñ tire jalve
ḳhud apnī shakl meñ ab tujh ko dekhtā huuñ maiñ
ham āshiqoñ kā hai mashrab judā zamāne meñ
huuñ banda yaar kā aur yaar pūjtā huuñ maiñ
tajalliyāñ mujhe ghere haiñ tere jalvoñ kī
terā jamāl hī din-rāt dekhtā huuñ maiñ
jahan-e-ishq mein had se guzar gaya hun main
qasam KHuda ki KHuda tujh mein dekhta hun main
anokha Dhang hai naya rang meri ibaadat ka
ki roz-o-shab tere jalwon mein mubtala hun main
na KHauf-e-marg na shauq-e-hayat hai mujh ko
jo mar miTa ho kisi par wo ba-KHuda hun main
nishan bataun kis se apni be-nishani ka
teri talash mein muddat se la-pata hun main
nafas nafas mein samaya hai yun tere jalwe
KHud apni shakl mein ab tujh ko dekhta hun main
hum aashiqon ka hai mashrab juda zamane mein
hun banda yar ka aur yar pujta hun main
tajalliyan mujhe ghere hain tere jalwon ki
tera jamal hi din-raat dekhta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.