aalam mein saqi aap ke jaisa nahin koi
aalam meñ saaqī aap ke jaisā nahīñ koī
bad-hāl kahīñ aap kā mañgtā nahīñ koī
kyā shaan ki aulād-e-alī āl-e-payambar
vallāh mere yaar ke jaisā nahīñ koī
har dil tirā shaidā hai fidā tujh pe zamāna
kyā shai hai ḳhudā jaane tū samjhā nahīñ koī
lākhoñ ke liye hosh hazāroñ kiye be-ḳhud
hushyār terī bazm meñ dekhā nahīñ koī
ai husn ke sultān parī-zādoñ ke afsar
jab se tujhe dekhā hameñ jachtā nahīñ koī
ham husn-parastoñ kā to īmāñ ye hasīñ hai
kyā kufr-o-sharī'at hameñ parvā nahīñ koī
gul-hā-e-yake gulshan-e-bedam haiñ 'farāz' ham
juz hazrat-e-vāris merā daatā nahīñ koī
aalam mein saqi aap ke jaisa nahin koi
bad-haal kahin aap ka mangta nahin koi
kya shan ki aulad-e-ali aal-e-payambar
wallah mere yar ke jaisa nahin koi
har dil tera shaida hai fida tujh pe zamana
kya shai hai KHuda jaane tu samjha nahin koi
lakhon ke liye hosh hazaron kiye be-KHud
hushyar teri bazm mein dekha nahin koi
ai husn ke sultan pari-zadon ke afsar
jab se tujhe dekha hamein jachta nahin koi
hum husn-paraston ka to iman ye hasin hai
kya kufr-o-shari'at hamein parwa nahin koi
gul-ha-e-yake gulshan-e-bedam hain 'faraaz' hum
juz hazrat-e-waris merā data nahin koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.