jis ghaDi yaadon mein teri yar kho jata hun main
jis ghaḌī yādoñ meñ terī yaar kho jaatā huuñ maiñ
phir to har jā par tujhī ko jalva-gar paatā huuñ maiñ
ab ye be-jā ho ki jā ho kufr ho parvā nahīñ
bandagī kā lutf qadmoñ meñ tire paatā huuñ maiñ
kāfir-o-vahshī koī dīvāna samjhe hai mujhe
laaj rakh shaidā kī apne terā kahlātā huuñ maiñ
dair ko puuje koī ka.abe pai sadqe ho koī
naqsh-e-pā tere sanam bas chūmtā jaatā huuñ meñ
haiñ saḳhī zādoñ ke dar yuuñ to jahāñ meñ aur bhī
par mirī jaañ tere aage haath phailātā huuñ maiñ
ai jahān-e-husn ke sultāñ karam ke bādshāh
ik nazar bas ik nazar vallāh tirā mañgtā huuñ maiñ
ḳhvāhish-e-jannat na gulzār iram chāhūñ 'farāz'
huuñ tirā banda tire dar par sukūñ paatā huuñ maiñ
jis ghaDi yaadon mein teri yar kho jata hun main
phir to har ja par tujhi ko jalwa-gar pata hun main
ab ye be-ja ho ki ja ho kufr ho parwa nahin
bandagi ka lutf qadmon mein tere pata hun main
kafir-o-wahshi koi diwana samjhe hai mujhe
laj rakh shaida ki apne tera kahlata hun main
dair ko puje koi kabe pai sadqe ho koi
naqsh-e-pa tere sanam bas chumta jata hun mein
hain saKHi zadon ke dar yun to jahan mein aur bhi
par meri jaan tere aage hath phailata hun main
ai jahan-e-husn ke sultan karam ke baadshah
ek nazar bas ek nazar wallah tera mangta hun main
KHwahish-e-jannat na gulzar iram chahun 'faraaz'
hun tera banda tere dar par sukun pata hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.