kabhi kabe mein pata hun kabhi but-KHane ke andar
kabhī ka.abe meñ paatā huuñ kabhī but-ḳhāne ke andar
lagā ke tujh se dil phirtā huuñ mārā-mārā maiñ dar-dar
ye kaisā priit hai ulfat hai zālim pyaar hai kaisā
ki dil sī chiiz lekar jā-ba-jā lagvāte ho chakkar
ḳhud hī to jalve dikhlā kar qarār-o-sabr lauTā hai
ḳhud hī kah kah ke dīvāna bhī hañste jaate ho mujh par
sharāb-e-be-ḳhudī hai yā mirī jaañ husn hai terā
huā behosh-o-be-ḳhud paḌ ga.ī jis kī nazar tujh par
ham hī tanhā nahīñ shaidā tirā aalam kā aalam hai
fidā kuchh sūrat-e-yaktā pe aur kuchh husn-e-zebā par
maiñ sadqe husn par tere fidā in nīchī nazroñ par
jo lākhoñ ke havās-o-hosh le le parde meñ rah kar
maiñ dīvāna to huuñ lekin 'farāz' us kā divāna huuñ
hasīnoñ kā jo sultāñ hai parī-zādoñ kā hai afsar
kabhi kabe mein pata hun kabhi but-KHane ke andar
laga ke tujh se dil phirta hun mara-mara main dar-dar
ye kaisa prit hai ulfat hai zalim pyar hai kaisa
ki dil si chiz lekar ja-ba-ja lagwate ho chakkar
KHud hi to jalwe dikhla kar qarar-o-sabr lauTa hai
KHud hi kah kah ke diwana bhi hanste jate ho mujh par
sharab-e-be-KHudi hai ya meri jaan husn hai tera
hua behosh-o-be-KHud paD gai jis ki nazar tujh par
hum hi tanha nahin shaida tera aalam ka aalam hai
fida kuchh surat-e-yakta pe aur kuchh husn-e-zeba par
main sadqe husn par tere fida in nichi nazron par
jo lakhon ke hawas-o-hosh le le parde mein rah kar
main diwana to hun lekin 'faraaz' us ka diwana hun
hasinon ka jo sultan hai pari-zadon ka hai afsar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.