kabhi to zulfen haTa de ruKH se kabhi to tark-e-hijab kar de
kabhī to zulfeñ haTā de ruḳh se kabhī to tark-e-hijāb kar de
kabhī to husn-o-shabāb kī mai pilā ke īmāñ ḳharāb kar de
bhalā dīvāne se parda kaisā hijāb kaisā naqāb kaisā
maiñ tere sadqe meñ tujh pe qurbāñ shabāb ko be-naqāb kar de
ḳhud hī to jalve dikhā dikhā ke nazar ke nashtar chalā chalā ke
jo dil kī duniyā meñ kī hai halchal use hasīñ ek ḳhvāb kar de
thā ḳhauf-e-rusvā.ī kaash tujh ko to kyuuñ banāyā thā apnā mujh ko
yā apne qaul-o-qasam nibhāo yā mirā ḳhāna-ḳharāb karde
ye maanā sultān-e-husn hai tū gadā-e-husn-o-shabāb huuñ maiñ
bachā.e rab nazar-e-bad se tujh ko atā zakāt-e-shabāb karde
paḌā huuñ muddat se dar pai tere kabhī to jāgeñ nasīb mere
kabhī to nazreñ bachā ke sab se hasīn ruḳh be-naqāb karde
maiñ husn kā huuñ 'farāz' mai-kash shabāb ko pūjtā huuñ dil se
milā ke husn-o-shabāb donoñ atā nirālī sharāb karde
kabhi to zulfen haTa de ruKH se kabhi to tark-e-hijab kar de
kabhi to husn-o-shabab ki mai pila ke iman KHarab kar de
bhala diwane se parda kaisa hijab kaisa naqab kaisa
main tere sadqe mein tujh pe qurban shabab ko be-naqab kar de
ḳhud hi to jalwe dikha dikha ke nazar ke nashtar chala chala ke
jo dil ki duniya mein ki hai halchal use hasin ek KHwab kar de
tha KHauf-e-ruswai kash tujh ko to kyun banaya tha apna mujh ko
ya apne qaul-o-qasam nibhao ya mera KHana-KHarab karde
ye mana sultan-e-husn hai tu gada-e-husn-o-shabab hun main
bachae rab nazar-e-bad se tujh ko ata zakat-e-shabab karde
paDa hun muddat se dar pai tere kabhi to jagen nasib mere
kabhi to nazren bacha ke sab se hasin ruKH be-naqab karde
main husn ka hun 'faraaz' mai-kash shabab ko pujta hun dil se
mila ke husn-o-shabab donon ata nirali sharab karde
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.