kabhi faiz-e-karam itna to mere yar ho jaye
kabhī faiz-e-karam itnā to mere yaar ho jaaye
jo ghabrā.e merā dil aap kā dīdār hojāye
huī muddat mirī jaañ ḳhāna-e-dil meñ tumhīñ rahte
kabhī jalva-garī dil kī hadoñ se paar ho jaa.e
are parda-nashīñ parde se bāhar bhī kabhī aao
jo honā hai vo dīvānoñ kā hāl-e-zār ho jaa.e
ye kaisī priit hai ulfat hai zālim pyaar hai kaisā
kahīñ shādābiyāñ jiinā kahīñ dushvār ho jaa.e
are o paikar-e-shān-e-karīmī husn kī mūrat
gadā.e husn par bhī ek nazar sarkār ho jaa.e
azal se huuñ maiñ shaidā.ī tumhārā tum merī chāhat
kahīñ rusvā merī ulfat na mere yaar ho jaaye
dil-e-nādāñ hī jab roz-e-azal se dam bhare us kā
'farāz' ab sochnā kyā jaañ bhī nazr-e-yār ho jaaye
kabhi faiz-e-karam itna to mere yar ho jaye
jo ghabrae mera dil aap ka didar hojaye
hui muddat meri jaan KHana-e-dil mein tumhin rahte
kabhi jalwa-gari dil ki hadon se par ho jae
are parda-nashin parde se bahar bhi kabhi aao
jo hona hai wo diwanon ka haal-e-zar ho jae
ye kaisi prit hai ulfat hai zalim pyar hai kaisa
kahin shadabiyan jina kahin dushwar ho jae
are o paikar-e-shan-e-karimi husn ki murat
gadae husn par bhi ek nazar sarkar ho jae
azal se hun main shaidai tumhaara tum meri chahat
kahin ruswa meri ulfat na mere yar ho jaye
dil-e-nadan hi jab roz-e-azal se dam bhare us ka
'faraaz' ab sochna kya jaan bhi nazr-e-yar ho jaye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.