koi aur nahin aa-kar anjir mila jate
Interesting Fact
بحوالہ : شمیم کلکتوی
koī aur nahīñ ā-kar anjīr milā jaate
ai kaash mirī vahshat vo aur baḌhā jaate
us abr meñ bhī saaqī detā na mujhe gar mai
badlī kī tarah naale mai-ḳhāne pe chhā jaate
un ko mire lāsha par aanā hī munāsib thā
maiñ ye to na kahtā aate to jalā jaate
ehsān thā gar aate vo qabr pe 'āshiq kī
baaqī thā nishāñ jitnā us ko bhī miTā jaate
vā'iz kī nahīñ sunte fariyād kī mat pūchho
gumrāh ke kahne se kyuuñ raah pe aa jaate
koi aur nahin aa-kar anjir mila jate
ai kash meri wahshat wo aur baDha jate
us abr mein bhi saqi deta na mujhe gar mai
badli ki tarah nale mai-KHane pe chha jate
un ko mere lasha par aana hi munasib tha
main ye to na kahta aate to jala jate
ehsan tha gar aate wo qabr pe 'ashiq ki
baqi tha nishan jitna us ko bhi miTa jate
wa'iz ki nahin sunte fariyaad ki mat puchho
gumrah ke kahne se kyun rah pe aa jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.