saf har dasht se hai jalwa numayan tera
saaf har dasht se hai jalva numāyāñ terā
laala gulzār se baḌh kar hai bayābāñ terā
gulshan dahr ke har phuul meñ hai bū terī
har ravish se ye gulistāñ hai sanā-ḳhvāñ terā
tū hī avval hai aur āḳhir bhī yahī zaat tirī
vahī zāhir hai ye jalva vahī pinhāñ terā
hai ye vo chashma ke sairāb hai jis se har ik
dushman-o-dost ye in.aam terā yaksāñ tairā
kis kī qismat ke rahe dost kā paikāñ dil meñ
baa'd muddat ke 'fidā' niklā hai armāñ terā
saf har dasht se hai jalwa numayan tera
lala gulzar se baDh kar hai bayaban tera
gulshan dahr ke har phul mein hai bu teri
har rawish se ye gulistan hai sana-KHwan tera
tu hi awwal hai aur aaKHir bhi yahi zat teri
wahi zahir hai ye jalwa wahi pinhan tera
hai ye wo chashma ke sairab hai jis se har ek
dushman-o-dost ye inam tera yaksan taira
kis ki qismat ke rahe dost ka paikan dil mein
ba'd muddat ke 'fida' nikla hai arman tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.