har naqsha kis se haq ke siwa mumkinat ka
har naqsha kis se haq ke siwa mumkinat ka
Mirza Muhammad Ali Fidvi
MORE BYMirza Muhammad Ali Fidvi
har naqsha kis se haq ke sivā mumkināt kā
har fard hai jahāñ meñ ā.īna zaat kā
tashbīh meñ zuhūr hai tanziya kā yahāñ
lāzim paḌā hai zaat ko parda sifāt kā
apnā shuhūd thā use insān se ġharaz
sardār jab kiyā hai use kā.ināt kā
partav nahīñ tajallī-e-vahdat kā kis pe yaañ
lekin bayāñ kis se ho us vārdāt kā
juuñ ġhuncha sar-ba-jaib ho bairañgī kī taraf
kyā e'tibār us chaman-e-be-sabāt kā
lā-taqnitū naved hai sab 'āsiyoñ ke ta.iiñ
ai shaiḳh mo'taqid nahīñ maiñ terī baat kā
DhūñDh us jagah kishvar-e-'alī bāb-e-’ilm hai
’uqda vahīñ se hove hai hal mushkilāt kā
duniyā ho aur 'ishq ho 'fidvī' ḳhudā kare
jis se milā hai ham ko vasīla najāt kā
har naqsha kis se haq ke siwa mumkinat ka
har fard hai jahan mein aaina zat ka
tashbih mein zuhur hai tanziya ka yahan
lazim paDa hai zat ko parda sifat ka
apna shuhud tha use insan se gharaz
sardar jab kiya hai use kainat ka
partaw nahin tajalli-e-wahdat ka kis pe yan
lekin bayan kis se ho us wardat ka
jun ghuncha sar-ba-jaib ho bairangi ki taraf
kya e'tibar us chaman-e-be-sabaat ka
la-taqnitu nawed hai sab 'asiyon ke tain
ai shaiKH mo'taqid nahin main teri baat ka
DhunDh us jagah kishwar-e-'ali bab-e-’ilm hai
’uqda wahin se howe hai hal mushkilat ka
duniya ho aur 'ishq ho 'fidwi' KHuda kare
jis se mila hai hum ko wasila najat ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.