apne hawas mein shab-e-gham kab hayat hai
apne havās meñ shab-e-ġham kab hayāt hai
ai dard-e-hijr tū hī batā kitnī raat hai
har kā.ināt se alag kā.ināt hai
hairat-sarā-e-'ishq meñ din hai na raat hai
jiinā jo āgayā to ajal bhī hayāt hai
aur yuuñ to ’umr-e-kHizr bhī kyā be-sabāt hai
kyuuñ intihā-e-shauq ko kahte haiñ be-ḳhudī
ḳhurshīd hī kī āḳhirī manzil to raat hai
toḌā hai lā-makāñ kī hadoñ ko bhī 'ishq ne
zindān-e-'aql terī to kyā kā.ināt hai
gum ho ke har jagah maiñ ḳhud raftagān-e-'ishq
un kī bhī ahl-e-kashf-o-karāmāt zaat hai
hastī ba-juz fanā-e-musalsal ke kuchh nahīñ
phir kis liye ye fikr qarār-o-sabāt hai
apne hawas mein shab-e-gham kab hayat hai
ai dard-e-hijr tu hi bata kitni raat hai
har kainat se alag kainat hai
hairat-sara-e-'ishq mein din hai na raat hai
jina jo aagaya to ajal bhi hayat hai
aur yun to ’umr-e-kHizr bhi kya be-sabaat hai
kyun intiha-e-shauq ko kahte hain be-KHudi
KHurshid hi ki aaKHiri manzil to raat hai
toDa hai la-makan ki hadon ko bhi 'ishq ne
zindan-e-'aql teri to kya kainat hai
gum ho ke har jagah main KHud raftagan-e-'ishq
un ki bhi ahl-e-kashf-o-karamat zat hai
hasti ba-juz fana-e-musalsal ke kuchh nahin
phir kis liye ye fikr qarar-o-sabaat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.