gae donon-jahan nazar se guzar teri shan ka koi bashar na mila
gae donon-jahan nazar se guzar teri shan ka koi bashar na mila
Akbar Warsi Meerthi
MORE BYAkbar Warsi Meerthi
Interesting Fact
۱۹۱۳ میں گلدستۂ قوالی کے صفحہ ۹ پر مذکورہ غزل حاجی محمد شریف الدین کانپوری کے نام و تخلص کے ساتھ طبع ہے۔
ga.e donoñ-jahāñ nazar se guzar tirī shaan kā koī bashar na milā
tirī har jagah dekhī nirālī phaban tirā bhed kisī ko magar na milā
tirā charchā jahāñ kī zabānoñ meñ hai tirā shor zamāne ke kānoñ meñ hai
magar āñkhoñ se dekhā to parda-nashīñ kahīñ tū na milā tirā ghar na milā
koī jalva-e-tūr pe ġhash meñ girā koī sidrah pe chalne se aarī huā
ga.ī aql-e-rasā to ḳhabar na milī uḌā tā.ir-e-fikr to par na milā
mire milne se hotā hai chīñ-ba-jabīñ tire milne na milne kā shikva nahīñ
jo gilā hai to hai yahī haq se gilā mujhe tirā sā haa.e jigar na milā
koī milne kā tere nishāñ bhī hai kahīñ rahne kā tere makāñ bhī hai
tujhe dekhā idhar to udhar na milā tujhe DhūñDā idhar to udhar na milā
kahīñ dast-e-savāl darāz nahīñ kisī aur pe yuuñ mujhe naaz nahīñ
koī tujh sā ġharīb-navāz nahīñ tire dar ke sivā koī dar na milā
maiñ ḳhudā jaane kis pe huā huuñ fidā mire hosh-o-havās nahīñ haiñ bajā
pare haT tū parī mere paas na aa chal huur tū mujh se nazar na milā
maiñ hamesha asīr-e-alam hī rahā mire dil meñ sadā terā ġham hī rahā
mirā naḳhl-e-ummīd qalam hī rahā mere rone kā koī samar na milā
isī fikr meñ guzre hai din 'akbar' isī ġham meñ gine taare shab-bhar
kiyā jis ne ishāre se TukḌe qamar kabhī ham se vo rashk-e-qamar na milā
gae donon-jahan nazar se guzar teri shan ka koi bashar na mila
teri har jagah dekhi nirali phaban tera bhed kisi ko magar na mila
tera charcha jahan ki zabanon mein hai tera shor zamane ke kanon mein hai
magar aankhon se dekha to parda-nashin kahin tu na mila tera ghar na mila
koi jalwa-e-tur pe ghash mein gira koi sidrah pe chalne se aari hua
gai aql-e-rasa to KHabar na mili uDa tair-e-fikr to par na mila
mere milne se hota hai chin-ba-jabin tere milne na milne ka shikwa nahin
jo gila hai to hai yahi haq se gila mujhe tera sa hae jigar na mila
koi milne ka tere nishan bhi hai kahin rahne ka tere makan bhi hai
tujhe dekha idhar to udhar na mila tujhe DhunDa idhar to udhar na mila
kahin dast-e-sawal daraaz nahin kisi aur pe yun mujhe naz nahin
koi tujh sa gharib-nawaz nahin tere dar ke siwa koi dar na mila
main KHuda jaane kis pe hua hun fida mere hosh-o-hawas nahin hain baja
pare haT tu pari mere pas na aa chal hur tu mujh se nazar na mila
main hamesha asir-e-alam hi raha mere dil mein sada tera gham hi raha
mera naKHl-e-ummid qalam hi raha mere rone ka koi samar na mila
isi fikr mein guzre hai din 'akbar' isi gham mein gine tare shab-bhar
kiya jis ne ishaare se TukDe qamar kabhi hum se wo rashk-e-qamar na mila
- Book : Riyaz-e-Akbar: Asli Diwan-e-Akbar (Pg. 15)
- Author : Mohammad Akbar Warsi
- Publication : Matba Majidi, Meerut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.