ghaflat na thi tasawwur-e-didar-e-yar tha
ġhaflat na thī tasavvur-e-dīdār-e-yār thā
nazzāra-e-jamāl meñ gum intizār thā
huuñ a.alam-e-sukūñ meñ ki a.alam sukūñ meñ hai
maiñ be-qarār thā ki jahāñ be-qarār thā
thī sūrat-e-hijāb haqīqat nigāh kī
jo raaz āshkār na thā āshkār thā
saaqī terī sharāb meñ ye ḳhaas baat thī
nashsha ba-qadr-e-hausla-e-bāda-kHvār thā
koī gunāh hosh se baḌh kar nahīñ gunāh
jo mast ho gayā vo baḌā hoshiyār thā
maiñ ho gayā ġhubār-e-rah-e-dost ai 'zahīn'
phir bhī kisī kī ḳhātir-e-nāzuk pe baar thā
ghaflat na thi tasawwur-e-didar-e-yar tha
nazzara-e-jamal mein gum intizar tha
hun aalam-e-sukun mein ki aalam sukun mein hai
main be-qarar tha ki jahan be-qarar tha
thi surat-e-hijab haqiqat nigah ki
jo raaz aashkar na tha aashkar tha
saqi teri sharab mein ye KHas baat thi
nashsha ba-qadr-e-hausla-e-baada-kHwar tha
koi gunah hosh se baDh kar nahin gunah
jo mast ho gaya wo baDa hoshiyar tha
main ho gaya ghubar-e-rah-e-dost ai 'zahin'
phir bhi kisi ki KHatir-e-nazuk pe bar tha
- Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 239)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.