galim-e-baKHt-e-sayyah-e-saya-dar rakhte hain
galīm-e-baḳht-e-sayyah-e-sāya-dār rakhte haiñ
yahī bisāt meñ ham ḳhāksār rakhte haiñ
basān-e-kāġhaz-e-ātish-zada mere gul-rū
tire jale bhune aur hī bahār rakhte haiñ
ye kis ne ham se kiyā va'ada-e-ham-āġhoshī
ki misl-e-bahar sarāsar kanār rakhte hiiñ
balā hai nashsha-e-duniyā ki tā-qiyāmat aah
sab ahl-e-qabr usī kā ḳhummār rakhte haiñ
butoñ ke jabr uThā.e hazār-hā ham ne
jo us pe bhī na milīñ iḳhtiyār rakhte haiñ
vo zindagī kī tarah ek dam nahīñ rahtā
agarche 'dard' use ham hazār rakhte haiñ
galim-e-baKHt-e-sayyah-e-saya-dar rakhte hain
yahi bisat mein hum KHaksar rakhte hain
basan-e-kaghaz-e-atish-zada mere gul-ru
tere jale bhune aur hi bahaar rakhte hain
ye kis ne hum se kiya wa'ada-e-ham-aghoshi
ki misl-e-bahar sarasar kanar rakhte hin
bala hai nashsha-e-duniya ki ta-qiyamat aah
sab ahl-e-qabr usi ka KHummar rakhte hain
buton ke jabr uThae hazar-ha hum ne
jo us pe bhi na milin iKHtiyar rakhte hain
wo zindagi ki tarah ek dam nahin rahta
agarche 'dard' use hum hazar rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.