gham-e-ishq mein aah-o-fariyaad kaisi har ek naz unka uThana paDega
gham-e-ishq mein aah-o-fariyaad kaisi har ek naz unka uThana paDega
Kamil Shattari
MORE BYKamil Shattari
ġham-e-ishq meñ āh-o-fariyād kaisī har ik naaz unkā uThānā paḌegā
jabīñ par shikan bhī hai kufr-e-mohabbat musībat meñ bhī muskurānā paḌegā
ḳhudā-hāfiz ab dil kī ḳhuddāriyoñ kā vo aate nahīñ unko laanā paḌegā
mohabbat se majbūr huuñ kyā batā.ūñ unheñ kaise kaise manānā paḌegā
qasam hai tumheñ merī uftādgī kī qasam hai mohabbat kī be-chārgī kī
kahāñ dil ko vīrāñ banā jā rahe ho tumhīñ ko use phir basānā paḌegā
agar husn kā kuchh mohabbat pe haq hai mohabbat kā bhī to kuchh husn par hai
kabhī nāz-bardār kā naaz bhī to huzūr aap ko kuchh uThānā paḌegā
huā ishq se ye hameñ istifāda maze meñ vahī hai jo hai be-irāda
inhīñ kī ḳhushī meñ mazedāriyāñ haiñ nahīñ to beḌā dukh uThānā paḌegā
kabhī varta-e-ġham meñ dil ko Dubo kar kabhī ḳhuun pī kar kabhī ḳhuun ro kar
bahut kuchh abhī apnī rūdād-e-ġham ko isī tarah rañgīñ banānā paḌegā
nashīlī nigāhoñ ke maare huoñ ko bas ik be-ḳhudī meñ guzāre huoñ ko
terī mast-āñkhoñ ke qurbān saaqī unheñ sāġharoñ se pilānā paḌegā
ināyat se tum dekh lete ho lekin kisī kī nazar lag nā jaaye kisī din
ḳhudā jaane kis kis kī nazroñ se kab tak tumhārī nazar ko bachānā paḌegā
qiyāmat hai ye ishq kī sādgī bhī mukammal hai 'kāmil' kī dīvāngī bhī
sukūn-e-dil-o-jāñ vahāñ DhūñDhtā hai jahāñ jaan par khel jaana paḌegā
gham-e-ishq mein aah-o-fariyaad kaisi har ek naz unka uThana paDega
jabin par shikan bhi hai kufr-e-mohabbat musibat mein bhi muskurana paDega
KHuda-hafiz ab dil ki KHuddariyon ka wo aate nahin unko lana paDega
mohabbat se majbur hun kya bataun unhen kaise kaise manana paDega
qasam hai tumhein meri uftadgi ki qasam hai mohabbat ki be-chaargi ki
kahan dil ko viran bana ja rahe ho tumhin ko use phir basana paDega
agar husn ka kuchh mohabbat pe haq hai mohabbat ka bhi to kuchh husn par hai
kabhi naz-bardar ka naz bhi to huzur aap ko kuchh uThana paDega
hua ishq se ye hamein istifada maze mein wahi hai jo hai be-irada
inhin ki KHushi mein mazedariyan hain nahin to beDa dukh uThana paDega
kabhi warta-e-gham mein dil ko Dubo kar kabhi KHun pi kar kabhi KHun ro kar
bahut kuchh abhi apni rudad-e-gham ko isi tarah rangin banana paDega
nashili nigahon ke mare huon ko bas ek be-KHudi mein guzare huon ko
teri mast-ankhon ke qurban saqi unhen sagharon se pilana paDega
inayat se tum dekh lete ho lekin kisi ki nazar lag na jaye kisi din
KHuda jaane kis kis ki nazron se kab tak tumhaari nazar ko bachana paDega
qiyamat hai ye ishq ki sadgi bhi mukammal hai 'kaamil' ki diwangi bhi
sukun-e-dil-o-jaan wahan DhunDhta hai jahan jaan par khel jaana paDega
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 197)
- Author : Meraj Ahmed Nizami
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.