ghamza-e-husn ki qasam tera karam kahan nahin
ġhamza-e-husn kī qasam terā karam kahāñ nahīñ
dīda-e-tar batā.egā dil ko agar zabāñ nahīñ
ek dalīl-e-ishq hai aah nahīñ fuġhāñ nahīñ
us ke sivā to aur kuchh vahm nahīñ gumāñ nahīñ
ishq ne jab sameT liiñ husn kī sab tajalliyāñ
us kī har ek dāstāñ kyā merī dāstāñ nahīñ
mahv-e-jamāl-e-yār huuñ husn-e-yār huuñ
naqsh kamāl-e-yār huuñ hastī-e-rā.igāñ nahīñ
kaam chale to kyā chale shāhid-o-bādo ke baġhair
riñd hī riñd haiñ yañh majma'-e-qudsiyāñ nahīñ
fazl kī baat aur hai varna haiñ ḳhush-ḳhayāliyāñ
rāh-e-navard-e-shauq agar tere qadam javāñ nahīñ
‘kāmil’-e-kHasta-jāñ tirā banda-e-nā-tavāñ tirā
lā.eq-e-rahm hai shahā qābil-e-imtihāñ nahīñ
ghamza-e-husn ki qasam tera karam kahan nahin
dida-e-tar bataega dil ko agar zaban nahin
ek dalil-e-ishq hai aah nahin fughan nahin
us ke siwa to aur kuchh wahm nahin guman nahin
ishq ne jab sameT lin husn ki sab tajalliyan
us ki har ek dastan kya meri dastan nahin
mahw-e-jamal-e-yar hun husn-e-yar hun
naqsh kamal-e-yar hun hasti-e-raigan nahin
kaam chale to kya chale shahid-o-baado ke baghair
rind hi rind hain yanh majma'-e-qudsiyan nahin
fazl ki baat aur hai warna hain KHush-KHayaliyan
rah-e-naward-e-shauq agar tere qadam jawan nahin
‘kaamil’-e-kHasta-jaan tera banda-e-na-tawan tera
laeq-e-rahm hai shaha qabil-e-imtihan nahin
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 258)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.