gar yar ho baham koi ho ho na ho na ho
gar yaar ho baham koī ho ho na ho na ho
jab apnā ho sanam koī ho ho na ho na ho
kHvesh-o-yagāna kyā haiñ jo maiñ bhī na huuñ na huuñ
to ho tirī qasam koī ho ho na ho na ho
a.alam na ho aur aise yahāñ laakh sab na hoñ
kaafī hai terā dam koī ho ho na ho na ho
tū hī vajūd-e-ḳhalq hai tū hī sujūd-e-kHalq
āḳhir hai sab adam koī ho ho na ho na ho
ulfat meñ terī saarā jahāñ ham se phir gayā
yaañ kis ko hai alam koī ho ho na ho na ho
miT jaa.e apnī hasti-e-mauhūm ġham hai kyā
ho dil ko tairā ġham koī ho ho na ho na ho
'ulvī'-o-siflī hoñ na hoñ pā-posh se merī
ai mazhar-e-atam koī ho ho na ho na ho
gar yar ho baham koi ho ho na ho na ho
jab apna ho sanam koi ho ho na ho na ho
kHwesh-o-yagana kya hain jo main bhi na hun na hun
to ho teri qasam koi ho ho na ho na ho
aalam na ho aur aise yahan lakh sab na hon
kafi hai tera dam koi ho ho na ho na ho
tu hi wajud-e-KHalq hai tu hi sujud-e-kHalq
aaKHir hai sab adam koi ho ho na ho na ho
ulfat mein teri sara jahan hum se phir gaya
yan kis ko hai alam koi ho ho na ho na ho
miT jae apni hasti-e-mauhum gham hai kya
ho dil ko taira gham koi ho ho na ho na ho
'ulwi'-o-sifli hon na hon pa-posh se meri
ai mazhar-e-atam koi ho ho na ho na ho
- Book : Khumkhana-e-Azli (Pg. 89)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.