gardishon ke hain mare hue na dushmanon ke satae hue hain
gardishoñ ke haiñ maare hue na dushmanoñ ke satā.e hue haiñ
jitne bhī zaḳhm haiñ mere dil par dostoñ ke lagā.e hue haiñ
jab se dekhā tirā qadd-o-qāmat dil pe TuuTī huī hai qayāmat
har balā se rahe tū salāmat din javānī ke aa.e hue haiñ
aur de mujh ko de aur saaqī hosh rahtā hai thoḌā sā baaqī
aaj talḳhī bhī hai intihā kī aaj vo bhī parā.e hue haiñ
kal the ābād pahlū meñ mere ab haiñ ġhairoñ kī mahfil meñ Dere
merī mahfil meñ kar ke añdhere apnī mahfil sajā.e hue haiñ
apne hāthoñ se ḳhanjar chalā kar kitnā mā’sūm chehra banā kar
apne kāñdhoñ pe ab mere qātil merī mayyat uThā.e hue haiñ
mah-vashoñ ko vafā se kyā matlab in butoñ ko ḳhudā se kyā matlab
un kī mā'sūm nazroñ ne 'nāsir' log pāgal banā.e hue haiñ
gardishon ke hain mare hue na dushmanon ke satae hue hain
jitne bhi zaKHm hain mere dil par doston ke lagae hue hain
jab se dekha tera qadd-o-qamat dil pe TuTi hui hai qayamat
har bala se rahe tu salamat din jawani ke aae hue hain
aur de mujh ko de aur saqi hosh rahta hai thoDa sa baqi
aaj talKHi bhi hai intiha ki aaj wo bhi parae hue hain
kal the aabaad pahlu mein mere ab hain ghairon ki mahfil mein Dere
meri mahfil mein kar ke andhere apni mahfil sajae hue hain
apne hathon se KHanjar chala kar kitna ma’sum chehra bana kar
apne kandhon pe ab mere qatil meri mayyat uThae hue hain
mah-washon ko wafa se kya matlab in buton ko KHuda se kya matlab
un ki ma'sum nazron ne 'nasir' log pagal banae hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.