garm andar ka ukhaDa hai to mai-KHane se
garm andar kā ukhāḌā hai to mai-ḳhāne se
raqs pariyoñ kā koī siikh le paimāne se
'aks kī jhepī huī shakl to ā.īne meñ dekh
sharm us ko bhī to aa.ī tire sharmāne se
dil hai dīvāna-e-gesū to pahan le beḌī
aan hai 'ishq ke bāñkoñ kī usī baane se
raat ye taaza khilā gul ki mire dil kī kalī
muskurā.ī tirī cholī ke masak jaane se
aabrū hai dil-e-dīvāna hī se gesū kī
mutabarrik hai ye tasbīh usī daane se
un kī ye haT ki nahīñ aaj na dūñgā bosa
dil kī ye zid ki bahaltā nahīñ bahlāne se
dhoke dete nahīñ āñkhoñ ko bayābānoñ meñ
chaleñ karte haiñ chhalāve tire dīvāne se
e'tibār aap ne vā'de kā ḳhud apne khoyā
na rahī itnī bhī tauqīr qasam khāne se
kahtī hai vasl kī shab un kī hayā sī shoḳhī
aaj hāsil nahīñ kuchh chhupne sharmāne se
ḳhānqāhoñ meñ jo ye phirtī hai bahkī-bahkī
tauba bhī pī ke magar niklī hai mai-ḳhāne se
dekh paayā hai unheñ hazrat-e-nāseh ne kahīñ
ab maiñ samjhā jo ġharaz hai mirī samjhāne se
qāzī-e-shahr ho yā shaiḳh-e-haram koī ho
jo na ho mast nikālo use mai-ḳhāne se
ashk hai daana mirā ashk hai paanī merā
aur vāqif huuñ na paanī se na maiñ daane se
ik zarā sī harakat kī bhī sakat mujh meñ nahīñ
ġhash pe ġhash aate haiñ ab hosh meñ bhī aane se
tauba TuuTī hai zarūr aaj kisī ūñche kī
tauba-tauba kī sadā aatī hai mai-ḳhāne se
loTeñ 'ushshāq-e-tah-e-ḳhāk ke sīnoñ pe bhī saañp
ye ishāra hai laTeñ zulf kī laTkāne se
garm andar ka ukhaDa hai to mai-KHane se
raqs pariyon ka koi sikh le paimane se
'aks ki jhepi hui shakl to aaine mein dekh
sharm us ko bhi to aai tere sharmane se
dil hai diwana-e-gesu to pahan le beDi
aan hai 'ishq ke bankon ki usi bane se
raat ye taza khila gul ki mere dil ki kali
muskurai teri choli ke masak jaane se
aabru hai dil-e-diwana hi se gesu ki
mutabarrik hai ye tasbih usi dane se
un ki ye haT ki nahin aaj na dunga bosa
dil ki ye zid ki bahalta nahin bahlane se
dhoke dete nahin aankhon ko bayabanon mein
chalen karte hain chhalawe tere diwane se
e'tibar aap ne wa'de ka KHud apne khoya
na rahi itni bhi tauqir qasam khane se
kahti hai wasl ki shab un ki haya si shoKHi
aaj hasil nahin kuchh chhupne sharmane se
KHanqahon mein jo ye phirti hai bahki-bahki
tauba bhi pi ke magar nikli hai mai-KHane se
dekh paya hai unhen hazrat-e-naseh ne kahin
ab main samjha jo gharaz hai meri samjhane se
qazi-e-shahr ho ya shaiKH-e-haram koi ho
jo na ho mast nikalo use mai-KHane se
ashk hai dana mera ashk hai pani mera
aur waqif hun na pani se na main dane se
ek zara si harakat ki bhi sakat mujh mein nahin
ghash pe ghash aate hain ab hosh mein bhi aane se
tauba TuTi hai zarur aaj kisi unche ki
tauba-tauba ki sada aati hai mai-KHane se
loTen 'ushshaq-e-tah-e-KHak ke sinon pe bhi sanp
ye ishaara hai laTen zulf ki laTkane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.