gesuon ko chehre par aapne bikhera hai
gesuoñ ko chehre par aap ne bikherā hai
bādaloñ ke saa.e meñ chāñd kā baserā hai
kyā 'ajab jo aise meñ toḌ de koī tauba
jaam bhī labālab hai abr bhī ghanerā hai
tū bachā.e jā dāman maiñ na baaz ā.ūñgā
merā 'ishq merā hai terā husn terā hai
un kī zulf-e-barham meñ 'ārizoñ ko kyā dekhūñ
chāñd paas hai lekin duur tak añdherā hai
in dinoñ mizāj ai dost is tarah hai 'hasrat' kā
dil meñ ġham zamāne kā lab pe naam terā hai
gesuon ko chehre par aap ne bikhera hai
baadalon ke sae mein chand ka basera hai
kya 'ajab jo aise mein toD de koi tauba
jam bhi labaalab hai abr bhi ghanera hai
tu bachae ja daman main na baz aaunga
mera 'ishq mera hai tera husn tera hai
un ki zulf-e-barham mein 'arizon ko kya dekhun
chand pas hai lekin dur tak andhera hai
in dinon mizaj ai dost is tarah hai 'hasrat' ka
dil mein gham zamane ka lab pe nam tera hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.