Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ghar jab banā liyā tere dar par kahe baġhair

Mirza Ghalib

ghar jab banā liyā tere dar par kahe baġhair

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    ghar jab banā liyā tire dar par kahe baġhair

    jānegā ab bhī na mirā ghar kahe baġhair

    kahte haiñ jab rahī na mujhe tāqat-e-suḳhan

    jānūñ kisī ke dil maiñ kyūñkar kahe baġhair

    kaam us se aa paḌā hai ki jis jahān meñ

    leve na koī naam sitamgar kahe baġhair

    meñ kuchh nahīñ hai hamāre vagarna ham

    sar jaa.e rahe na raheñ par kahe baġhair

    chhoḌūñgā maiñ na us but-e-kāfir pūjnā

    chhoḌe na ḳhalq go mujhe kāfar kahe baġhair

    maqsad hai nāz-o-ġhamza vale guftugū meñ kaam

    chaltā nahīñ hai dashna-o-ḳhanjar kahe baġhair

    har chand ho mushāhida-e-haq guftugū

    bantī nahīñ hai bāda-o-sāġhar kahe baġhair

    bahrā huuñ maiñ to chāhiye duunā ho iltifāt

    suntā nahīñ huuñ baat mukarrar kahe baġhair

    'ġhālib' na kar huzūr meñ baar baar arz

    zāhir hai terā haal sab un par kahe baġhair

    ghar jab banā liyā tere dar par kahe baġhair

    jānegā ab bhī na mirā ghar kahe baġhair

    kahte haiñ jab rahī na mujhe tāqat-e-suḳhan

    jānūñ kisī ke dil maiñ kyūñkar kahe baġhair

    kaam us se aa paḌā hai ki jis jahān meñ

    lewe na koī nam sitamgar kahe baġhair

    meñ kuchh nahīñ hai hamāre wagarna hum

    sar jae rahe na raheñ par kahe baġhair

    chhoḌūñgā maiñ na us but-e-kāfir pūjnā

    chhoḌe na ḳhalq go mujhe kāfar kahe baġhair

    maqsad hai nāz-o-ġhamza wale guftugū meñ kaam

    chaltā nahīñ hai dashna-o-ḳhanjar kahe baġhair

    har chand ho mushāhida-e-haq guftugū

    bantī nahīñ hai bāda-o-sāġhar kahe baġhair

    bahrā huñ maiñ to chāhiye dunā ho iltifāt

    suntā nahīñ huñ baat mukarrar kahe baġhair

    'ġhālib' na kar huzūr meñ bar bar arz

    zāhir hai terā haal sab un par kahe baġhair

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now