be-nishan aur ba-nishan hun main
be-nishāñ aur bā-nishāñ huuñ maiñ
kahīñ bātin kahīñ ayaañ huuñ maiñ
maiñ yahāñ bhī huuñ aur vahāñ huuñ maiñ
donoñ aalam meñ be-gumāñ huuñ maiñ
maiñ hī huuñ mā-o-tū ke parde se maiñ
kahīñ zāhir kahīñ ayaañ huuñ maiñ
donoñ aalam tajalliyāñ haiñ mirī
na.e aalam meñ har zamāñ huuñ maiñ
kahīñ zinda huuñ sūrat-e-ma.ashūq
kahīñ āshiq huuñ nīm-jāñ huuñ maiñ
kahīñ zāhir huuñ ishq kī sūrat
kahīñ armān-e-’āshiqāñ huuñ maiñ
sab hai mujh meñ vo huuñ bashar 'ġhausī'
bul-ajab turfa-e-chīstāñ huuñ maiñ
be-nishan aur ba-nishan hun main
kahin baatin kahin ayan hun main
main yahan bhi hun aur wahan hun main
donon aalam mein be-guman hun main
main hi hun ma-o-tu ke parde se main
kahin zahir kahin ayan hun main
donon aalam tajalliyan hain meri
nae aalam mein har zaman hun main
kahin zinda hun surat-e-mashuq
kahin aashiq hun nim-jaan hun main
kahin zahir hun ishq ki surat
kahin arman-e-’ashiqan hun main
sab hai mujh mein wo hun bashar 'ghausi'
bul-ajab turfa-e-chistan hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.