ye makan se ta-sar-e-la-makan usi ek wajud ka KHwab hai
ye makāñ se tā-sar-e-lā-makāñ usī ik vajūd kā ḳhvāb hai
ye zuhūr donoñ jahān kā ruḳh yaar hī kī naqāb hai
kahūñ kaisā bahr-e-vajūd hai do-jahāñ kī jis meñ ki buud hai
koī qatra hai koī naqsh hai koī mauj koī habāb hai
hai ajab chaman kā ye rañg Dhañg ki aab kā to hai ek rañg
ye hazāroñ qism ke phuul haiñ kahīñ sumbul aur gulāb hai
ye baqā mirī ye fanā mirī tirī zaat se hai ai dil-rubā
tirī zaat se huuñ maiñ zāhiran mirī hastī naqsh bar-āb hai
mirā ain to tirā ain meñ na to ġhair hai na maiñ aur huuñ
mire yaar parda na mujh se kar mujhe kuchh na tujh se hijāb hai
vahīñ be-ḳhudī meñ bhale the ham ki na apnī hastī kā hosh thā
nikal aa.e yaañ to huā ġhazab ki ḳhudī meñ hāl-e-ḳharāb hai
kaaro tum tilāvat-e-zāt bas yahī kaam 'ġhausī' rakho sadā
ye qur.āñ hai haq ke vajūd kā ye ḳhudā kī ḳhaas kitāb hai
ye makan se ta-sar-e-la-makan usi ek wajud ka KHwab hai
ye zuhur donon jahan ka ruKH yar hi ki naqab hai
kahun kaisa bahr-e-wajud hai do-jahan ki jis mein ki bud hai
koi qatra hai koi naqsh hai koi mauj koi habab hai
hai ajab chaman ka ye rang Dhang ki aab ka to hai ek rang
ye hazaron qism ke phul hain kahin sumbul aur gulab hai
ye baqa meri ye fana meri teri zat se hai ai dil-ruba
teri zat se hun main zahiran meri hasti naqsh bar-ab hai
mera ain to tera ain mein na to ghair hai na main aur hun
mere yar parda na mujh se kar mujhe kuchh na tujh se hijab hai
wahin be-KHudi mein bhale the hum ki na apni hasti ka hosh tha
nikal aae yan to hua ghazab ki KHudi mein haal-e-KHarab hai
karo tum tilawat-e-zat bas yahi kaam 'ghausi' rakho sada
ye quran hai haq ke wajud ka ye KHuda ki KHas kitab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.