allah re kya aap ka hai husn bala ka
allāh re kyā aap kā hai husn balā kā
hogā na do-a.alam meñ to us ān-o-adā kā
dekhe jo dam-e-zabh adā.eñ tirī qātil
hojāye qazā ko mirī armān qazā kā
jo tiir hai dil-doz hai jo baat hai dilchasp
aatā hai maza terī jafā meñ bhī adā kā
hairān-e-kHudā.ī hai tujhe dekh ke pyāre
lete haiñ jigar thaam ke sab naam ḳhudā kā
ek ek adā se miTe lākhoñ hī vafā meñ
kyā siikh liyā aap ne bhī Dhañg jafā kā
ḳhud jaane kī tāqat nahīñ vo ā.eñge aap hī
ehsān na lūñgā maiñ kabhī bād-e-sabā kā
the duur to be-parda the paas aa.e to mahjūb
ye siikh liyā tum ne chalan kis se hayā kā
go lākhoñ hī pardoñ meñ dil apnā ye chhupāyā
lekin tirī nazroñ ne use duur se taakā
barbād hue ham tirī sah sah ke jafā.eñ
bhūle se bhī tuune na liyā naam vafā kā
'ġhausī' maiñ usī dar kā ik ḳhāk-nashīñ huuñ
rutba hai jahāñ ek sabhī shāh-o-gadā kā
allah re kya aap ka hai husn bala ka
hoga na do-alam mein to us aan-o-ada ka
dekhe jo dam-e-zabh adaen teri qatil
hojaye qaza ko meri arman qaza ka
jo tir hai dil-doz hai jo baat hai dilchasp
aata hai maza teri jafa mein bhi ada ka
hairan-e-kHudai hai tujhe dekh ke pyare
lete hain jigar tham ke sab nam KHuda ka
ek ek ada se miTe lakhon hi wafa mein
kya sikh liya aap ne bhi Dhang jafa ka
KHud jaane ki taqat nahin wo aaenge aap hi
ehsan na lunga main kabhi baad-e-saba ka
the dur to be-parda the pas aae to mahjub
ye sikh liya tum ne chalan kis se haya ka
go lakhon hi pardon mein dil apna ye chhupaya
lekin teri nazron ne use dur se taka
barbaad hue hum teri sah sah ke jafaen
bhule se bhi tune na liya nam wafa ka
'ghausi' main usi dar ka ek KHak-nashin hun
rutba hai jahan ek sabhi shah-o-gada ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.