Khaali to na hota kabhi mai-KHana kisi ka
ḳhālī to na hotā kabhī mai-ḳhāna kisī kā
phir kyā thā jo bhar detā vo paimāna kisī kā
abrū kā na ḳhanjar kā adā kā na kisī kā
maarā huā hai ye dil dīvāna kisī kā
tum duur se ro doge baḌā dard bharā hai
dekho na suno chheḌ ke afsāna kisī kā
hāthoñ meñ subū lab pe fuġhāñ paañv meñ laġhzish
kyā shorish-e-mastī meñ hai mastāna kisī kā
jalve pe tire karte haiñ sajda tujhe but bhī
ab ka.aba huā TuuT ke but-ḳhāna kisī kā
dil TukḌe jigar chaak hai aur jaan pe sadma
kyā kyā na sitam Dhātā hai yārāna kisī kā
ruktā bhī hai sadqe bhī hai hasrat se hai taktā
kis dhuum se jaltā hai ye parvāna kisī kā
uḌtī huī kah un se sabā hālat-e-'ġhausī'
''ġham se kahīñ be-kal na ho jānāna kisī kā
KHali to na hota kabhi mai-KHana kisi ka
phir kya tha jo bhar deta wo paimana kisi ka
abru ka na KHanjar ka ada ka na kisi ka
mara hua hai ye dil diwana kisi ka
tum dur se ro doge baDa dard bhara hai
dekho na suno chheD ke afsana kisi ka
hathon mein subu lab pe fughan panw mein laghzish
kya shorish-e-masti mein hai mastana kisi ka
jalwe pe tere karte hain sajda tujhe but bhi
ab kaba hua TuT ke but-KHana kisi ka
dil TukDe jigar chaak hai aur jaan pe sadma
kya kya na sitam Dhata hai yarana kisi ka
rukta bhi hai sadqe bhi hai hasrat se hai takta
kis dhum se jalta hai ye parwana kisi ka
uDti hui kah un se saba haalat-e-'ghausi'
gham se kahin be-kal na ho jaanana kisi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.