mat sata itna but-e-kafir mujhe bahar-e-KHuda
mat satā itnā but-e-kāfir mujhe bahar-e-ḳhudā
shaad kar pahlū meñ ab aakar mujhe bahar-e-ḳhudā
muskurā kar vasl kī shab yuuñ kahā vo mast-e-nāz
ab na chhūnā āgayā chakkar mujhe bahar-e-ḳhudā
terī chashm-e-mast kā mastāna huuñ maiñ sāqiyā
mastī ulfat kā de sāġhar mujhe bahar-e-ḳhudā
jaan kar tā-nazar hai kyuuñ ik but-e-be-raham ko
chhoḌ de ab ai dil-e-muztar mujhe bahar-e-ḳhudā
raat din 'ġhausī' ke lab par hai yahī pyāre sadā
muñh to dikhlā ab dam-e-āḳhir mujhe bahr-e-ḳhudā
mat sata itna but-e-kafir mujhe bahar-e-KHuda
shad kar pahlu mein ab aakar mujhe bahar-e-KHuda
muskura kar wasl ki shab yun kaha wo mast-e-naz
ab na chhuna aagaya chakkar mujhe bahar-e-KHuda
teri chashm-e-mast ka mastana hun main saqiya
masti ulfat ka de saghar mujhe bahar-e-KHuda
jaan kar ta-nazar hai kyun ek but-e-be-raham ko
chhoD de ab ai dil-e-muztar mujhe bahar-e-KHuda
raat din 'ghausi' ke lab par hai yahi pyare sada
munh to dikhla ab dam-e-aKHir mujhe bahr-e-KHuda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.