mar raha hun main KHayal-e-yar mein
mar rahā huuñ maiñ ḳhayāl-e-yār meñ
hasrateñ haiñ sau dil-e-bīmār meñ
sādgī par un kī martā hai jahāñ
Dher hai lāshoñ ke sab bāzār meñ
kar diyā chhalnī kaleje ko tamām
barchhiyāñ haiñ kyā nigāh-e-yār meñ
mere nāloñ ne jalāyā sab chaman
ḳhaar tak baaqī nahīñ gulzār meñ
uḌ ke sar qātil ke qadmoñ par girā
phal lagā hasrat kā naḳhl-e-vār meñ
zindagī hai us meñ is meñ maut hai
farq hai iqbāl meñ inkār meñ
ek dam meñ saiñkaḌoñ ghā.il hue
kitnī chhuriyāñ haiñ nigāh-e-yār meñ
gor par hasrat barastī hai mirī
mar gayā huuñ hasrat-e-dīdār meñ
un kā ghar ā.īnā-kHāna ho gayā
lag ga.e dil sab dar-o-dīvār meñ
khud rahī hai qabr talvāroñ se aaj
dafn 'ġhausī' kā hai kū-e-yār meñ
mar raha hun main KHayal-e-yar mein
hasraten hain sau dil-e-bimar mein
sadgi par un ki marta hai jahan
Dher hai lashon ke sab bazar mein
kar diya chhalni kaleje ko tamam
barchhiyan hain kya nigah-e-yar mein
mere nalon ne jalaya sab chaman
KHar tak baqi nahin gulzar mein
uD ke sar qatil ke qadmon par gira
phal laga hasrat ka naKHl-e-war mein
zindagi hai us mein is mein maut hai
farq hai iqbaal mein inkar mein
ek dam mein sainkaDon ghail hue
kitni chhuriyan hain nigah-e-yar mein
gor par hasrat barasti hai meri
mar gaya hun hasrat-e-didar mein
un ka ghar aaina-kHana ho gaya
lag gae dil sab dar-o-diwar mein
khud rahi hai qabr talwaron se aaj
dafn 'ghausi' ka hai ku-e-yar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.