idhar unki mehr-o-ata ho rahi hai
idhar un kī mehr-o-'atā ho rahī hai
udhar kuchh idhar kī sadā ho rahī hai
tumheñ yaad karte haiñ mushkil meñ maulā
bachānā mire nā-ḳhudā ho rahī hai
jo ye dam-badam hichkiyāñ aa rahī haiñ
hamārī kahīñ yaad kyā ho rahī hai
jo niklā janāza kisī kā to bole
ye kaisī qiyāmat bapā ho rahī hai
mukar jāoge tum miTeñge na dhabbe
dam-e-zabh takrār kyā ho rahī hai
ye tum yaad rakh lo na chhoḌūñgā ulfat
sahī laakh mujh par jafā ho rahī hai
zarā muḌ ke dekho to lāsha kisī kā
ki sadqe kisī ke qazā ho rahī hai
maze tere ḳhanjar ke le le ke qātil
lab-e-zaḳhm se marhabā ho rahī hai
bujhānā koī aag dil meñ lagī hai
are meñ jilā meñ jilā ho rahī hai
ishāre pe bismil jahāñ ho rahā hai
faqat ek tarz adā ho rahī hai
miTāte haiñ madfan ko vo ba.ad-e-murdan
koī aur rasm-e-jafā ho rahī hai
muzd ye uThā sun ke ash.ār-e-‘ġhausī’
har ik lab se salle-alā ho rahī hai
idhar un ki mehr-o-'ata ho rahi hai
udhar kuchh idhar ki sada ho rahi hai
tumhein yaad karte hain mushkil mein maula
bachana mere na-KHuda ho rahi hai
jo ye dam-badam hichkiyan aa rahi hain
hamari kahin yaad kya ho rahi hai
jo nikla janaza kisi ka to bole
ye kaisi qiyamat bapa ho rahi hai
mukar jaoge tum miTenge na dhabbe
dam-e-zabh takrar kya ho rahi hai
ye tum yaad rakh lo na chhoDunga ulfat
sahi lakh mujh par jafa ho rahi hai
zara muD ke dekho to lasha kisi ka
ki sadqe kisi ke qaza ho rahi hai
maze tere KHanjar ke le le ke qatil
lab-e-zaKHm se marhaba ho rahi hai
bujhana koi aag dil mein lagi hai
are mein jila mein jila ho rahi hai
ishaare pe bismil jahan ho raha hai
faqat ek tarz ada ho rahi hai
miTate hain madfan ko wo baad-e-murdan
koi aur rasm-e-jafa ho rahi hai
muzd ye uTha sun ke ashaar-e-‘ghausi’
har ek lab se salle-ala ho rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.