haqiqat jalwa-gar mujh mein hai wo ramz-e-haqiqat hun
haqīqat jalva-gar mujh meñ hai vo ramz-e-haqīqat huuñ
muamma huuñ maiñ ik be-sūratī kā naqsh-e-sūrat huuñ
haqīqat meñ jo kuchh hai abad meñ maulā kā jalva hai
numāyāñ mujh se vahdat hai agarche rang-e-kasrat huuñ
kahīñ huuñ mast-e-mai-kHāna kahīñ huuñ tālib-e-maulā
kahīñ pīr-e-muġhāñ huuñ aur kahīñ shaiḳh-e-tarīqat huuñ
haqīqat meñ jo kuchh huuñ huuñ ḳhudā huuñ aur na banda huuñ
nirālī shaan hai merī maiñ vo mir.āt-e-hairat huuñ
nahīñ huuñ maiñ magar mujh se hī phir sab kuchh huvaidā hai
numā.ish zaat kī karatā huuñ apnī ik haqīqat huuñ
jo kuchh bhī mujh meñ hai 'ġhausī' vo sab sāmāñ isī kā hai
usī kī diid kī lazzat meñ huuñ mahv-e-'ibādat huuñ
haqiqat jalwa-gar mujh mein hai wo ramz-e-haqiqat hun
muamma hun main ek be-surati ka naqsh-e-surat hun
haqiqat mein jo kuchh hai abad mein maula ka jalwa hai
numayan mujh se wahdat hai agarche rang-e-kasrat hun
kahin hun mast-e-mai-kHana kahin hun talib-e-maula
kahin pir-e-mughan hun aur kahin shaiKH-e-tariqat hun
haqiqat mein jo kuchh hun hun KHuda hun aur na banda hun
nirali shan hai meri main wo miraat-e-hairat hun
nahin hun main magar mujh se hi phir sab kuchh huwaida hai
numaish zat ki karata hun apni ek haqiqat hun
jo kuchh bhi mujh mein hai 'ghausi' wo sab saman isi ka hai
usi ki did ki lazzat mein hun mahw-e-'ibaadat hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.