kya kahun KHud ko main apne mein kya kya ho gaya
kyā kahūñ ḳhud ko maiñ apne meñ kyā kyā ho gayā
ḳhud-tamāshā.ī banā ḳhud hī tamāshā ho gayā
ḳhud meñ ḳhud ko dekhtā huuñ ḳhud kā ḳhud huuñ ā.īna
aap hī banda-numā aur aap maulā ho gayā
sab mirī shāneñ haiñ mere ruup mere taur haiñ
har ta.ayyun meñ nirālā rañg merā ho gayā
vo hayūlā huuñ ki mujh se hai jahāñ ke sab numūd
jo na thā kuchh bhī vo sab mujh se huvaidā ho gayā
sab ḳhayālī sūrateñ haiñ ek huuñ maiñ ek huuñ
merī ġhairiyat kā har sūrat ko dhokā ho gayā
bāvajūd is ke ki maiñ hī sab meñ zāhir huuñ magar
merī ye be-pardagī ḳhud ek parda ho gayā
ḳhud ko har har ā.īna meñ dekhtā huuñ maiñ alag
ḳhud hī phir kasrat meñ vahdat kā muamma ho gayā
shakl-e-nā-mahram kahīñ rahtā huuñ maiñ jalva-fazā
sūrat-e-‘ġhausī’ kahīñ irfān vaalā ho gayā
kya kahun KHud ko main apne mein kya kya ho gaya
KHud-tamashai bana KHud hi tamasha ho gaya
KHud mein KHud ko dekhta hun KHud ka KHud hun aaina
aap hi banda-numa aur aap maula ho gaya
sab meri shanen hain mere rup mere taur hain
har tayyun mein nirala rang mera ho gaya
wo hayula hun ki mujh se hai jahan ke sab numud
jo na tha kuchh bhi wo sab mujh se huwaida ho gaya
sab KHayali suraten hain ek hun main ek hun
meri ghairiyat ka har surat ko dhoka ho gaya
bawajud is ke ki main hi sab mein zahir hun magar
meri ye be-pardagi KHud ek parda ho gaya
KHud ko har har aaina mein dekhta hun main alag
KHud hi phir kasrat mein wahdat ka muamma ho gaya
shakl-e-na-mahram kahin rahta hun main jalwa-faza
surat-e-‘ghausi’ kahin irfan wala ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.