koi mast mujhko bana gaya wo piyala mujhko pila gaya
koī mast mujh ko banā gayā vo piyāla mujh ko pilā gayā
diyā kaan meñ mere phūñk kuchh mujhe jaane kyā vo banā gayā
vo fusūñ thā us kī nigāh meñ ki fusūñ bhī jis ko na kah sakīñ
mujhe ḳhud nazar vo banā gayā vo nazar milā ke chalā gayā
vo sharāb us kī sharāb thī ki halāl bhī thī vo paak bhī
vo thā nashsha us kā bhī nashsha kuchh ki maiñ ḳhud ko khoyā bhī pā gayā
diyā maiñ ne jaan bhī tan use diyā maiñ ne diin bhī dil use
liyā le ke phir kiyā mustarad unheñ aur kuchh vo banā gayā
koī dekhnā use dekhnā ki nazar meñ us kī hai kīmiyā
ki maiñ pahle kī tarah ab nahīñ mujhe jaane kyā vo banā gayā
ajab us kī bātoñ meñ baat thī ki chhupī huī koī zaat thī
ki patte the saare khule hue vo batā ke sab ko patā gayā
koī ik ko sab hī samajhtā thā koī sab ko sab use chhoḌ kar
vahī vo hai sab meñ ye sab nahīñ vo sabhoñ meñ aisā batā gayā
jise DhūñDhtā thā maiñ jā-ba-jā vo nazar bachā ke thā har jagah
vo nazar-navāz har ik jagah mujhe us kā jalva dikhā gayā
vo balā kī us kī thī sādgī ki nazar jahāñ na jachtī thī
magar us pe bhī vo karīm thā ki batā ke sab ko patā gayā
kyā jām-e-hastī se mast jab to lagā vo 'ġhausī' ko chhoḌne
baḌī minnatoñ se pata liyā to kamāl naam batā gayā
koi mast mujh ko bana gaya wo piyala mujh ko pila gaya
diya kan mein mere phunk kuchh mujhe jaane kya wo bana gaya
wo fusun tha us ki nigah mein ki fusun bhi jis ko na kah sakin
mujhe KHud nazar wo bana gaya wo nazar mila ke chala gaya
wo sharab us ki sharab thi ki halal bhi thi wo pak bhi
wo tha nashsha us ka bhi nashsha kuchh ki main KHud ko khoya bhi pa gaya
diya main ne jaan bhi tan use diya main ne din bhi dil use
liya le ke phir kiya mustarad unhen aur kuchh wo bana gaya
koi dekhna use dekhna ki nazar mein us ki hai kimiya
ki main pahle ki tarah ab nahin mujhe jaane kya wo bana gaya
ajab us ki baaton mein baat thi ki chhupi hui koi zat thi
ki patte the sare khule hue wo bata ke sab ko pata gaya
koi ek ko sab hi samajhta tha koi sab ko sab use chhoD kar
wahi wo hai sab mein ye sab nahin wo sabhon mein aisa bata gaya
jise DhunDhta tha main ja-ba-ja wo nazar bacha ke tha har jagah
wo nazar-nawaz har ek jagah mujhe us ka jalwa dikha gaya
wo bala ki us ki thi sadgi ki nazar jahan na jachti thi
magar us pe bhi wo karim tha ki bata ke sab ko pata gaya
kya jam-e-hasti se mast jab to laga wo 'ghausi' ko chhoDne
baDi minnaton se pata liya to kamal nam bata gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.