kisi ke husn ka jalwa hun wo hijab hun main
kisī ke husn kā jalva huuñ vo hijāb huuñ maiñ
jamāl-e-yār kī halkī sī ik naqāb huuñ maiñ
kisī kā jalva hai zāhir to us kā huuñ maz.har
kisī kī hastī hai paanī to ik sarāb huuñ maiñ
kisī kā bāñdhā huā ik naqsh hastī huuñ
haiñ hai bahr to us bahr kā habāb huuñ maiñ
tumhārā husn rahe aur tum raho ābād
duā.eñ miT ke bhī detā huuñ vo ḳharāb huuñ maiñ
vo be-nazīr hasīñ aur maiñ us kā ā.īna
vo apne husn meñ be-misl lā-javāb huuñ maiñ
na pūchho kyā huuñ maiñ kaisā vujūd hai merā
jo dekhte haiñ vo bedār meñ vo ḳhvāb huuñ maiñ
nihāñ haiñ mujh meñ nukush-e-jahān-e-ġhaib-o-shuhūd
tamām husn kā daftar huuñ vo kitāb huuñ maiñ
maiñ kuchh na ho ke bhī un kī nazar meñ rahtā huuñ
karam un kā ki lākhoñ meñ intiḳhāb huuñ maiñ
maiñ kyā batā.ūñ ki hai mujh meñ kyā nihāñ 'ġhausī'
agarche sūrat-e-zarra huuñ āftāb huuñ maiñ
kisi ke husn ka jalwa hun wo hijab hun main
jamal-e-yar ki halki si ek naqab hun main
kisi ka jalwa hai zahir to us ka hun mazhar
kisi ki hasti hai pani to ek sarab hun main
kisi ka bandha hua ek naqsh hasti hun
hain hai bahr to us bahr ka habab hun main
tumhaara husn rahe aur tum raho aabaad
duaen miT ke bhi deta hun wo KHarab hun main
wo be-nazir hasin aur main us ka aaina
wo apne husn mein be-misl la-jawab hun main
na puchho kya hun main kaisa wujud hai mera
jo dekhte hain wo bedar mein wo KHwab hun main
nihan hain mujh mein nukush-e-jahan-e-ghaib-o-shuhud
tamam husn ka daftar hun wo kitab hun main
main kuchh na ho ke bhi un ki nazar mein rahta hun
karam un ka ki lakhon mein intiKHab hun main
main kya bataun ki hai mujh mein kya nihan 'ghausi'
agarche surat-e-zarra hun aaftab hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.