ayan husn-e-ruKH-e-dildar dekho
ayaañ husn-e-ruḳh-e-dildār dekho
har ik shai meñ jamāl-e-yār dekho
ḳhudī kyā chiiz hai ḳhud chiiz kyā ho
use samjho use har baar dekho
maiñ hī banda huuñ kahtā hai maiñ hī haq
anā ke haiñ ye kyā iqrār dekho
ḳhudī ko chhoḌ kar aao ḳhudī meñ
ḳhudī meñ kaun hai ḳhuddār dekho
jahāñ ko ā.īnā-kHāna banāo
phir us meñ jalva-e-dil-dār dekho
baġhair yaar haiñ aġhyār kis jā
unhīñ aġhyār meñ hai yaar dekho
khulī dūkāñ hai asrār ḳhudī kī
ye shai hai ab sar-e-bāzār dekho
tum hī meñ hai jise tum DhūñDte ho
zarā ḳhud ko to tum ik baar dekho
tumhīñ sā hai agar 'ġhausī' to kyā hai
tum us meñ kis ke haiñ anvār dekho
ayan husn-e-ruKH-e-dildar dekho
har ek shai mein jamal-e-yar dekho
KHudi kya chiz hai KHud chiz kya ho
use samjho use har bar dekho
main hi banda hun kahta hai main hi haq
ana ke hain ye kya iqrar dekho
KHudi ko chhoD kar aao KHudi mein
KHudi mein kaun hai KHuddar dekho
jahan ko aaina-kHana banao
phir us mein jalwa-e-dil-dar dekho
baghair yar hain aghyar kis ja
unhin aghyar mein hai yar dekho
khuli dukan hai asrar KHudi ki
ye shai hai ab sar-e-bazar dekho
tum hi mein hai jise tum DhunDte ho
zara KHud ko to tum ek bar dekho
tumhin sa hai agar 'ghausi' to kya hai
tum us mein kis ke hain anwar dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.