tujhe dekhta hun jahan jahan nazar aa raha hai wahan tu hi
tujhe dekhtā huuñ jahāñ jahāñ nazar aa rahā hai vahāñ tū hī
go barī hai rañg-e-jahāñ se tū mirī jaañ magar hai jahāñ tū hī
tū nahīñ to phir ye jahāñ kahāñ tire dam se hai ye jahāñ jahāñ
go jahāñ hai aur tū aur hai hai magar jahān kī jaañ tū hī
tirā bhed mujh pe ye khul gayā tirā jalva mujh se na chhup sakā
mire jism se hai ayaañ tū hī mirī jaan meñ hai nihāñ tū hī
tū hī nuur hai tū hī nuur hai tire nuur kā ye zuhūr hai
tire lā-makāñ kā hai ye nishāñ ki makīñ tū hī hai makāñ tū hī
mujhe thā gumāñ mirā tan hai ye mirā dil hai ye mirī jaañ hai ye
ye yaqīñ hai ab mirā tan tū hī mirā dil tū hī mirī jaañ tū hī
tujhe jāntā huuñ tujh hī se maiñ tujhe dekhtā huuñ tujhī se maiñ
hai ba-jān-e-'ġhausī' nihāñ tū hī ba-shakl-e-'ġhausī' ayaañ tū hī
tujhe dekhta hun jahan jahan nazar aa raha hai wahan tu hi
go bari hai rang-e-jahan se tu meri jaan magar hai jahan tu hi
tu nahin to phir ye jahan kahan tere dam se hai ye jahan jahan
go jahan hai aur tu aur hai hai magar jahan ki jaan tu hi
tera bhed mujh pe ye khul gaya tera jalwa mujh se na chhup saka
mere jism se hai ayan tu hi meri jaan mein hai nihan tu hi
tu hi nur hai tu hi nur hai tere nur ka ye zuhur hai
tere la-makan ka hai ye nishan ki makin tu hi hai makan tu hi
mujhe tha guman mera tan hai ye mera dil hai ye meri jaan hai ye
ye yaqin hai ab mera tan tu hi mera dil tu hi meri jaan tu hi
tujhe jaanta hun tujh hi se main tujhe dekhta hun tujhi se main
hai ba-jaan-e-'ghausi' nihan tu hi ba-shakl-e-'ghausi' ayan tu hi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.