ek dam koi gar dekhe wo jalwa-e-jaanana
ik dam koī gar dekhe vo jalva-e-jānāna
mujh sā bane dīvāna mujh sā rahe mastāna
hālat pe mirī zāhid nādān tū hañstā hai
kuchh tujh pe agar guzre ban jā.egā dīvāna
mastī kā mire 'ālam vo hai ki maiñ hī maiñ huuñ
yaañ ḳhvesh-parastī hai apnā hai na begāna
mai hai ye ḳhudī merī mastī mujhe ḳhud se hai
maiñ aap hī saaqī huuñ aur aap hī mai-ḳhāna
gulzār meñ maiñ gul huuñ gul meñ huuñ maiñ bū ho kar
tuutī kā maiñ naġhma huuñ bulbul kā huuñ afsāna
har dam na.e jalve haiñ dam se mire 'ālam meñ
har aan na.ī merī har taur judā-gāna
shāhān-e-jahāñ meñ maiñ sau shaan se huuñ 'ġhausī'
rakhtā huuñ faqīroñ meñ sau rañg faqīrāna
ek dam koi gar dekhe wo jalwa-e-jaanana
mujh sa bane diwana mujh sa rahe mastana
haalat pe meri zahid nadan tu hansta hai
kuchh tujh pe agar guzre ban jaega diwana
masti ka mere 'alam wo hai ki main hi main hun
yan KHwesh-parasti hai apna hai na begana
mai hai ye KHudi meri masti mujhe KHud se hai
main aap hi saqi hun aur aap hi mai-KHana
gulzar mein main gul hun gul mein hun main bu ho kar
tuti ka main naghma hun bulbul ka hun afsana
har dam nae jalwe hain dam se mere 'alam mein
har aan nai meri har taur juda-gana
shahan-e-jahan mein main sau shan se hun 'ghausi'
rakhta hun faqiron mein sau rang faqirana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.