kis tarh se pukare tumhein kya kaha kare
kis tarh se pukāre tumheñ kyā kahā kare
dekhā ho jis ne ap ko maulā vo kyā kare
nāmoñ se hai huzūr ki qur.āñ bharā huā
kis naam se huzūr ġhulām iltijā kare
sab naam hai huzūr ki haq ke kahe hue
kaise ḳhitāb haq ko ye banda adā kare
mauqūf ik do naam pe haq ne kiyā na ḳhud
banda tumheñ huzūr kaho kyā kahā kare
tāqat nahīñ ġhulām jo maulā kā naam le
be-nām kis tarah jiye haa.e kyā kare
tan aap kā dil aap kā hai jaan aap kī
'ġhausī' ke paas kyā hai jo tum par fidā kare
kis tarh se pukare tumhein kya kaha kare
dekha ho jis ne ap ko maula wo kya kare
namon se hai huzur ki quran bhara hua
kis nam se huzur ghulam iltija kare
sab nam hai huzur ki haq ke kahe hue
kaise KHitab haq ko ye banda ada kare
mauquf ek do nam pe haq ne kiya na KHud
banda tumhein huzur kaho kya kaha kare
taqat nahin ghulam jo maula ka nam le
be-nam kis tarah jiye hae kya kare
tan aap ka dil aap ka hai jaan aap ki
'ghausi' ke pas kya hai jo tum par fida kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.