nur ho ja sham-e-ru-e-yar ka parwana ban
nuur ho jā sham-e-rū-e-yār kā parvāna ban
gar tujhe banñā ho kuchh to aql kho dīvāna ban
surma-e-ahl-e-nazar ban ho kisī kī ḳhāk-e-pā
mast banñā ho to chashm-e-mast kā mastāna ban
gar tujhe banñā ho kuchh to hech ban aur kuchh na ban
kyā kahūñ phir tujh ko maiñ kyā kyā tū ban kyā kyā na ban
go che daanā hai tū dānāyān-e-'ālam meñ magar
raah meñ dildār kī nādān ban daanā na ban
ek hai sab meñ to sab haiñ ek meñ pā ramz ko
Daal de hairat meñ sab ko aur tū hairat-kHāna ban
DhūñDh hai jin kī unhīñ ke hī tū kāshāna meñ hai
be-ḳhabar hushiyār ho ab un kā tū kāshāna ban
dekh phir us ke yagāna ban ke jalve aap meñ
yaar se ho jāygā na aap se begāna ban
sākinān-e-kū-e-jānāñ par ho qurbāñ jaan se
shaah banñā ho ġhulām-e-nargis-e-mastāna ban
raaz ābādī kā terī terī barbādī meñ hai
nīstī le phir to mir.āt-e-ruḳh-e-jānāna ban
phir sharāb-e-hastī-e-dildār kī mastī meñ rah
ruuh se ḳhum dil se shīsha jism se paimāna ban
ban ke paimāna se shīsha phir to shīsha se ho ḳhum
ḳhum se phir ho ḳhum-kade phir sāqī-e-ḳhum-ḳhāna ban
diid karnā ho to rū-e-yār kā ā.īna ho
sadqe honā ho to un ke gesuoñ kā shāna ban
gar tujhe banñā ho 'ġhausī' kuchh na ban ma.alūm ban
vo banā.eñ jab to phir tū jaan ban jaanā na ban
nur ho ja sham-e-ru-e-yar ka parwana ban
gar tujhe banna ho kuchh to aql kho diwana ban
surma-e-ahl-e-nazar ban ho kisi ki KHak-e-pa
mast banna ho to chashm-e-mast ka mastana ban
gar tujhe banna ho kuchh to hech ban aur kuchh na ban
kya kahun phir tujh ko main kya kya tu ban kya kya na ban
go che dana hai tu danayan-e-'alam mein magar
rah mein dildar ki nadan ban dana na ban
ek hai sab mein to sab hain ek mein pa ramz ko
Dal de hairat mein sab ko aur tu hairat-kHana ban
DhunDh hai jin ki unhin ke hi tu kashana mein hai
be-KHabar hushiyar ho ab un ka tu kashana ban
dekh phir us ke yagana ban ke jalwe aap mein
yar se ho jayga na aap se begana ban
sakinan-e-ku-e-jaanan par ho qurban jaan se
shah banna ho ghulam-e-nargis-e-mastana ban
raaz aabaadi ka teri teri barbaadi mein hai
nisti le phir to miraat-e-ruKH-e-jaanana ban
phir sharab-e-hasti-e-dildar ki masti mein rah
ruh se KHum dil se shisha jism se paimana ban
ban ke paimana se shisha phir to shisha se ho KHum
KHum se phir ho KHum-kade phir saqi-e-KHum-KHana ban
did karna ho to ru-e-yar ka aaina ho
sadqe hona ho to un ke gesuon ka shana ban
gar tujhe banna ho 'ghausi' kuchh na ban malum ban
wo banaen jab to phir tu jaan ban jaana na ban
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.